Al-Quran Tarjama In Roman Urdu Surat-Al Bakarah Ruku-#26
Al-QURAN: TARJUMA-E-KANZUL IMAAN. 002-Surah Al-Bakrah. Suratul Baqara Madina mai Nazil hui, is main 286 Aayatain aur 40 Ruku hain. RUKU # 26 (211): Bani Israil Sey Pucho Humnay Kitni Roshan Nishaniya Unhay Di Aur Jo Allah ki Aai Hui Neimto ko Badal de To Beshak Allah ka Azab Sakht hy. (212): Kafiro ki Nigah meyn Dunia Ki Zindagi Aarasta Ki Gai Aur Musalmano sey Hastay hain Aur Darr Walay Unsey Upar hongay Qayamat k Din Aur Khuda-Jisay Chahay Bey-Ginti Dey (213): Log Ek Deen Par Th’y Fir Allah ney Ambiya Bhejay Khush-Khabri Detay Aur Darr Sunatay Aur Unke Sath Sachchi Qitab Utari Keh wo Logo meyn Un k Ikhtelafo Ka-Faisla Kar dey Aur Qitab meyn Ikhtelaf Unhee ney Dala Jinko Di Gai thi Bad us k Keh Un k Pas Roshan Huqm Aa chukay Aapas ki Sarkashi sey T’o Allah Ney Iman Walo ko Wo Haq Bat Suja Di Jis maine Jaghad Rahay Th’y Apnay Huqm Sey Aur Allah Jisay Chahay Sidhi Raah DikhAay. (214): Kya Is Guman Meyn Ho keh Jannat Meyn Chalay Jao gay Aur Abhi Tum par Ag...