Al-Quran Tarjama In Roman Urdu Surat-Al Bakarah Ruku-#23
Al-QURAN:
TARJUMA-E-KANZUL
IMAAN.
002-Surah
Al-Bakrah.
Suratul
Baqara Madina mai Nazil hui, is main 286 Aayatain aur 40 Ruku hain.
RUKU #23
(183):
Aye Eiman Walo! Tum par Roezay Farz kiye Gaye jaisay aglo par Farz huye thay
keh Kahin Tumhen Parhezgaari milay.
(184):
Ginti k din hain, to tum meyn jo koi bimaar ya safar meyn ho to itnay roezay
aur Dino meyn aur Jinhay iski taqat na ho wo Badla den ek miskeen ka
khana,
phir jo apni Taraf sey naiki zeyada karay to wo us k liye behtar hy, aur roza Rakhna
Tumhary liye zyada bhala hai agar tum Jano.
(185):
Ramzan ka wo mahina jis meyn Qur’aan Utra, Logo k liye Hidayat aur rahnumai aur
faislay ki Raushan batain, to tum me jo koi yeh mahina paaye Zaroor
is k
Roezay rakhay aur jo bimaar ya safar meyn ho to itnay Roezay aur dino meyn,
ALLAH tum par aasaani chahta hai aur tum par dushwaari nahin chahta aur
is liye
keh tum ginti poori Karo aur ALLAH ki badai bolo is par keh us ney Tumhain
Hidayat ki aur Kahin tum Haq GuZaar ho.
(186):
Aur Aye Mahboob jab tum sey meray banday Mujhay puchhen to main nazdeek hun,
Dua Qabool karta hun pukarnay walay ki jab Mujhay Pukaaray, to Unhen
chahiyey
mera Hukm manay aur mujh par Eiman Layen keh Kahin Raah Payen.
(187):
Rozo ki raTo meyn apni aurtu k pas jana TumhAaray liye halaal huwa, wo tumhari
libAs hain aur tum un k libas, ALLAH ney jana keh tum apni jano ko
khayanat
meyn daltay thay to us ney Tumhari tauba Qabool ki aur Tumhay Muaf Farmaya to
ab un sey suhbat karo aur talab karo jo ALLAH ney Tumharey naseeb
me likha
ho, aur khao aur piyo yaha tak keh TumhAaray liye zahir ho jaye safedi ka dora
siyahi k doray sey (puPhat kar) phir raat aanay tak Roezay pooray
karo, aur
aurtu ko haath na lagao jab tum Masjedo meyn Aitikaaf sey ho, yeh ALLAH ki
hadden hain, unke pas na jao, ALLAH yun hi bayan karta hai logo sey
apni
Aayaten keh Kahin unhay Parhezgaari milay.
(188):
Aur Aapas meyn Ek Dusray ka maal na haq na khaao aur na Hakmo k Paas un ka
muqadma is liy Pahunchao keh logo ka kuch maal najaiz taur par khaa lo
jaan
boojh kar.
Comments
Post a Comment