Al-Quran Tarjama In Roman Urdu Surat-Al Bakarah Ruku-#19
Al-QURAN:
TARJUMA-E-KANZUL
IMAAN.
002-Surah
Al-Bakrah.
Suratul
Baqara Madina mai Nazil hui, is main 286 Aayatain aur 40 Ruku hain.
RUKU # 19
(153): Ay
iman walo sabar-o-namaz sey madad chaHo beyShak Allah sabaRoon k sath hy.
(154):
Aur jo Khuda ki rah main maRay jain unhay murda nah kaho balKeh wo zindah hain,
haan tumhain khabar nahi.
(155):
Aur zaroor ham tumhain azmain gay kuch dar aur kuch bookh sey aur kuch malun
aur jano aur phalo ki kami sey aur khush khabri suna un sabar walo
ko.
(156):
keh jab un par koi maseebat paday to kahain ham Allah ka mal hain aur hamin us
ki taraf pherna.
(157):
yeh log hain jen par un k rab ki daroodN hain aur rehmat, aur yehi log rah par
hain.
(158):
beyshak safa aur marwa ALLAH ki nashano sey hain, to jo us ghar ka Haj ya Umra
karay us par kuch guna nahi keh en dono k phairay karay aur jo koi
bhali bat
apni taraf sey karay to ALLAH naiki ka silah denay wala khabardar hay.
(159):
Beshak wo jo hamari utari hui Raushan Batu aur Hidayat ko Chupatay hain bad is
k keh Logo k liye ham usay Kitab meyn wazeh Farma chukay, un par
ALLAH ki
laanat hai aur laanat karnay Walo ki laanat.
(160):
Magar wo jo tauba karen aur sanwarain aur zahir karen to main Unki tauba Qabool
farmaun ga aur meyn h’i hoon bada tauba Qabool farmany wala Meharban.
(161):
Beshak wo jinho ney kufr kiya aur kafir hi maraye un par laanat hai ALLAH aur
Farishto aur Aadamiyo Sab ki.
(162):
Hamesha Rahengay us meyn, na un par Azaab halka ho aur na unhen Mohallat di
Jaye.
(163):
Aur Tumhara Maabood aik Maabood hai, us k siwa koi Maabood nahi magar wohi badi
Rahmat wala Maharban.
Comments
Post a Comment