Al-Quran Tarjama In Roman Urdu Surat-Al Bakarah Ruku-#29


Al-QURAN:
TARJUMA-E-KANZUL IMAAN.

002-Surah Al-Bakrah.

Suratul Baqara Madina mai Nazil hui, is main 286 Aayatain aur 40 Ruku hain.

RUKU # 29

(229): Yeh Talaq (2 Bar Tak hy Fir Bhalai k Sath Roek Laina Hy Ya Ne’kui k Sath Chor Daina Hy Aur Tumhay Rawa Nahi Keh Jo Kuch Aurto ko Diya Us meyn sey
Kuch Wapas Lo, Magar Jab Dono Ko Andesha Ho Ki Allah ki Hadi’n Qaiem Na Karengay Fir Agar Tumhay Khuf ho Keh Wo Dono Theek Unhi HaDo Par Na-Rahengay T’o
Unpar Kuch Gunaah Nahi Us meyn Jo Badla Deykar Aurat Chutti Le, Yeh Allah ki Hadi’n hain Un sey Aagay Na Badho Aur Jo Allah ki Haddo Sey Aagay Barhay To
Wahi Log Zalim hain.
(230): Fir Agar Teesri(3) Talaak Usay D’i T’o Ab Wo Aurat Usay Halal Na hogi Jab Tak Dusray Khawind K Pas Na Rahay, Fir Wo Dusra Agar Usay Talaak Dy dey
T’o Un Dono Par Gunaah Nahi Keh Fir Aapas main Mil Jaain Agar Samajtay Ho ki Allah ki Hadi’n Nibahengay Aur Yeh Allah ki Hadi’n hain Jinhay Bayan Karta
hai Danish Mando K Liye.
(231): Aur Jab Tum Aurto ko Talaak D’o Aur Un ki Mee’ad aa Lagay To Us Waqt Tak Ya Bhalai K Sath Rok Lo Ya Ne’kui K Sath Chor D’o Aur Unhay Zarr Denay
ke Liye Rokna Na ho Keh Hadd sey Barho Aur Jo asa Karay Wo Apna Hi Nuksan Karta hy Aur Allah ki AaYato ko Thattha (Mazak) Na Bana lo Aur Yaad Karo Allah
Ka Ehsan Jo Tumpar Hai Aur Wo Jo Tum par Qitab Aur Hiqmat Utari Tumhay Nasihat Denay Ko Aur Allah Sey Dartay Raho Aur Jaan Rakho Keh Allah Sab kuch Janta
hy.

Comments

Popular posts from this blog

Peer-e-Kamil (S.A.W) By Umera Ahmad In English Page 05

Best 100 advices in urdu

Peer-e-Kamil (S.A.W) By Umera Ahmad In English Page 16