Al-Quran Tarjama In Roman Urdu Surat-Al Bakarah Ruku-#30


Al-QURAN:
TARJUMA-E-KANZUL IMAAN.

002-Surah Al-Bakrah.

Suratul Baqara Madina mai Nazil hui, is main 286 Aayatain aur 40 Ruku hain. 

RUKU # 30

(232): Aur Jab Tum Aurto Ko Talaak D’o Aur Unki Meaad Puri Ho Jae To Aye Aurto k Waliyo Unhay Na Roko Is sey keh Apnay Shoharo sey Nikah Kar lai’n JabKeh
Aapas Meyn Muwafiq-E-Sha’ra Razamand ho Ja_ain, Yeh Nasihat Usay D’i Jati hai Jo Tum mey Sey Allah Aur Qayamat Par Imaan Rakhta ho Yeh tumhAaray Liye Zyada
Suthra Aur Pakeeza hai Aur Allah Janta hai Aur Tum Nahi Jante
(233): Aur Maain Dhoodh Pila_ain Apnay Bachcho ko Puray (2 Baras Us k Liye Jo Doodh ki Muddat Puri Karni Chahay, Aur Jiska-Bachcha hai Uspar Aurto ka Khana
Aur Pehan’na hy Hasb-e-Dastoor, Kisi Jaan Par Bojh Na Rakha Jayga Magar Us k Makdur Bhar Maa Ko Zarr Na Diya Jae Us k Bachchay sey Aur Na Aulad Walo ko
Us ki Aulad sey, Ya Maa Zarr na Dey Apnay Bachchay ko Aur Na Aulad Wala Apni Aulad Ko, Aur Jo Baap Ka Qaiem Maqam Hy Uspar bhi asa h’i Wajib hai Fir Agar
Maa-Baap Dono Aapas ki Raza Aur Mashwaray sey Doodh Churana Chahain T’o Unpar Gunaah Nahi Aur Agar tum Chaho keh Daayon Sey Apnay Bachcho Ko Dhoodh Pilwao
T’o bhi tum Par Muzayka Nahi JabKeh Jo Dena Thehra Tha Bhalai K Sath Unhay Ada Kar d’o Aur Allah sey Dartay Raho Aur Jaan Rakho Keh Allah TumhAaray Kaam
Dekh Raha hy.
(234): Aur Tum meyn Jo MaRen Aur Biwiyan Chorain Wo 4 Mahinay (10 Din Apnay Aap ko Rokay Rahay T’o Jab Unki Iddat Puri Ho Jae To Aye Waliyo! Tumpar Muwakheza
Nahi Us Kaam meyn Jo Aurte Apnay Muammlay meyn Muwafiqe Sha’ra Karay Aur Allah Ko TumhAaray Kamo ki Khabar hy.
(235): Aur Tumpar Gunah Nahi Is Baat Meyn Jo Parda Rakh kar Tum Aurto ko Nikah ka Peyam D’o Ya Apnay Dil Meyn Chupa Rakho Allah Janta hy keh Ab Tum Un
ki Yaad Karo gay, Haan Un sey Khufiya Wada Na Rakho Magar yeh Keh Itni h’i Baat Kaho Jo Sha’ra Meyn Ma’aroof hai Aur Nikah Ki Girah Pakki na Karo Jab Tak
Likha Hua Huqm Apni Meead Ko Na Pahuch Lay Aur Janlo Keh Allah Tumhary Dil ki Janta hai T’o Us sey Daro Aur Janlo Keh Allah Bakshnay Wala Hilm Wala Hai.

Comments

Popular posts from this blog

Peer-e-Kamil (S.A.W) By Umera Ahmad In English Page 05

Best 100 advices in urdu

Peer-e-Kamil (S.A.W) By Umera Ahmad In English Page 16