Al-Quran Tarjama In Roman Urdu Surat-Al Bakarah Ruku-#26
Al-QURAN:
TARJUMA-E-KANZUL
IMAAN.
002-Surah
Al-Bakrah.
Suratul
Baqara Madina mai Nazil hui, is main 286 Aayatain aur 40 Ruku hain.
RUKU # 26
(211):
Bani Israil Sey Pucho Humnay Kitni Roshan Nishaniya Unhay Di Aur Jo Allah ki
Aai Hui Neimto ko Badal de To Beshak Allah ka Azab Sakht hy.
(212):
Kafiro ki Nigah meyn Dunia Ki Zindagi Aarasta Ki Gai Aur Musalmano sey Hastay
hain Aur Darr Walay Unsey Upar hongay Qayamat k Din Aur Khuda-Jisay
Chahay
Bey-Ginti Dey
(213):
Log Ek Deen Par Th’y Fir Allah ney Ambiya Bhejay Khush-Khabri Detay Aur Darr
Sunatay Aur Unke Sath Sachchi Qitab Utari Keh wo Logo meyn Un k Ikhtelafo
Ka-Faisla
Kar dey Aur Qitab meyn Ikhtelaf Unhee ney Dala Jinko Di Gai thi Bad us k Keh Un
k Pas Roshan Huqm Aa chukay Aapas ki Sarkashi sey T’o Allah Ney
Iman Walo
ko Wo Haq Bat Suja Di Jis maine Jaghad Rahay Th’y Apnay Huqm Sey Aur Allah
Jisay Chahay Sidhi Raah DikhAay.
(214):
Kya Is Guman Meyn Ho keh Jannat Meyn Chalay Jao gay Aur Abhi Tum par Aglo Ki si
RuDad Na Aai, Pahuchi Unhay Sakhti Aur Shiddat, Aur HaLaa-HaLa Dalay
Gae Yaha
TakK Kaih Utha Rasool Aur Us k Sath K Imaan Walay Kab Aay gi Allah ki Madad,
Sunlo Beshak Allah ki Madad Kareeb Hai.
(215):
Tumsey Puchtay hain Kya Kharch Karain, Tum Farmao Jo Kuch Maal Naiki meyn
Kharch Karo to Wo Maa-Baap Aur Kareeb k Rishtedaro Aur Yateemo Aur Mohtajo
Aur
RaHg’eer k Liye Hai Aur Jo Bhalai Karo Beshak Allah Usay Janta Hai.
(216):
Tumpar Farz hua Khuda ki Raah meyn Larna Aur Wo Tumhainh Na-Gawar hy, Aur
Kareeb hai keh koi Bat Tumhay Buri Lagay Aur Wo TumhAaray Haq meyn Behter
ho Aur
Kareeb Hai Keh koi Bat Tumhay Pasand Aay Aur Wo TumhAaray Haq Meyn Buri ho Aur
Allah Janta hai Aur Tum Nahi Jante.
Comments
Post a Comment