Al-Quran Tarjama In Roman Urdu Surat-Al Bakarah Ruku-#18
Al-QURAN:
TARJUMA-E-KANZUL
IMAAN.
002-Surah
Al-Bakrah.
Suratul
Baqara Madina mai Nazil hui, is main 286 Aayatain aur 40 Ruku hain.
RUKU # 18
(148):
Aur har ek k liye tawajjeh ki ek simt hy keh wo usi ki Taraf munh karta hai to
yeh Chaho keh nikiyo meyn auro sey aagay nikal jayen tum Kahin ho
ALLAH tum
sab ko ekhatta le aayga, Beshak ALLAH jo chahay karay.
(149):
Aur Jahan sey aao apna munh Masjid e Haraam ki Taraf karo aur wo Zaroor
TumhAaray Rab ki Taraf sey Haq hai aur ALLAH TumhAaray kamo se Ghafil Nahin.
(150):
Aur Aye Mahboob Tum Jahan sey aao apna munh Masjid e Haraam ki Taraf karo aur
aye Musalmano tum Jahan Kahin ho apna munh usi ki Taraf Karo keh logo
ko tum
par koi hujjat na rahay, Magar jo un meyn na insafi karen to un sey na Daro aur
mujh sey Daro aur yeh is liye hai keh main apni Nemat tum par poori
karon aur
kisi Tarha tum Hidayat pao.
(151):
Jaisay keh Ham ney tum meyn Bhaija ek RASOOL tum main sey keh tum par hamari
Aayaten Tilawat farmata hai aur Tumhen paak karta aur Kitaab aur Pukhta
Elm
sikhata hai aur Tumhen wo taaleem farmata hai jis ka Tumhen Ilmm na tha.
(152): To
meri yad karo main tunhara charcha karunga aur mera haq mano aur meri na shukri
nah karo.
Comments
Post a Comment