Al-Quran Tarjama In Roman Urdu Surat-Al Bakarah Ruku-#32


Al-QURAN:
TARJUMA-E-KANZUL IMAAN.

002-Surah Al-Bakrah.

Suratul Baqara Madina mai Nazil hui, is main 286 Aayatain aur 40 Ruku hain.

RUKU # 32

(243): Aye Mehboob Kya Tum ney Na Dekha tha Unhay jo Apnay Gharo sey Niklay Aur wo Hazaro the Mout k Darr Sey To Allah Ney Un sey Farmaya Mar Jao, Fir
Unhay Zinda Farma Diya Beshak Allah Logo Par Fazl Karnay Wala hy Magar Aksar log Na Shukry hain.
(244): Aur Laro Allah ki Raah meyn Aur Janlo Ki Allah Sunta Janta hy.
(245): Hy Koi Jo Allah Ko Qarz-E-Hasna Dey T’o Allah Us k Liye Bahot Guna (Zyada) Barha Dey Aur Allah Tangi Aur KashAiesh Karta hy Aur Tumhay Usi Ki Taraf
Fir jana.
(246): Aye Mehboob! Kya Tum ney Na Dekha Bani Israil K Ek Giroh ko Jo Musa K Bad Hua Jab Apnay Ek Paigambar sey Boly Humary Liye Khara Kar d’o Ek BaDshah
Keh Hum Khuda ki Raah meyn Laday, Nabi ne Farmaya, Kya Tumhary Andaz esay hain Keh tum par Jihad Farz Kiya Jae To Fir na karo, Fir Boly Keh Hamay Kya hua
Keh Hum Allah ki Raah meyn Na laday Halankeh Hum NeKalay Gae hain Apnay Vatan Aur Apni Aulad sey, T’o Fir Jab Unpar Jihad Farz Kiya gaya Munh Fer Gae Magar
Un meyn keh Thoray Aur Allah Khoob Janta Hai Zalimo ko.
(247): Aur Un sey Un k Nabi ney Farmaya Beshak Allah ney Taloot ko Tumhara Badshah Bana kar Bhija Hy, Boly Usay Hum par BadShahi Kyonkar Hogi Aur Hum Us
sey Zyada Saltanat k Mustahik Hain Aur Usay Maal meyn bhi Wus’at Nahi d’i Gai, Farmaya Usay Allah ney Tumpar Chunn Liya Aur Usay Ilmm Aur Jism meyn Kushadgi
Zyada d’i Aur Allah Apna Mulk Jisay Chahe Dey, Aur Allah Wus’at Wala Ilmm Wala hy.
(248): Aur Un sey Un k Nabi ney Farmaya Uski BadShahi Ki Nishani Yeh hy Keh Aay Tumhary Pas Taboot Jis meyn Tumhary Rabb Ki Taraf sey Dilo Ka Chain Hy
Aur Kuch Bachi Hui Cheeze hy Moa’zaz Musa Aur Moa’zaz Haroon K Tarkay ki UthAatay Laengay Usay Farishtay Beshak Us meyn Badi Nishani hy Tumhary Liye Agar
Imaan Rakhtay ho.

Comments

Popular posts from this blog

Peer-e-Kamil (S.A.W) By Umera Ahmad In English Page 05

Best 100 advices in urdu

Peer-e-Kamil (S.A.W) By Umera Ahmad In English Page 16