Al-Quran Tarjama In Roman Urdu Surat-Al Bakarah Ruku-#21
Al-QURAN:
TARJUMA-E-KANZUL
IMAAN.
002-Surah
Al-Bakrah.
Suratul
Baqara Madina mai Nazil hui, is main 286 Aayatain aur 40 Ruku hain.
RUKU # 21
(168):
Aye Logo khaao jo Kuch Zameen meyn Halaal pakiza hai aur Shaitaan k qadam par
qadam na rakho beshak wo Tumhara khula dushman hai.
(169): Wo
to Tumhen yihi Hukm dega badi aur bey hayai ka aur yeh keh ALLAH par wo bat
joro jis ki Tumhen Khabar nahin.
(170):
Aur Jab Unsey Kaha Jaye ALLAH k utaaray par chalo to Kahen Balkih ham to usi
par chalengay jis par apnay baap dada ko paya, kia agarcheh unke baap
dada na
Kuch Aqal Rakhtay hun na Hidayat.
(171):
Aur Kafiroon ki kahawat us Kee see hai jo pukaary aisay ko keh Khaali Cheekh wa
Pukaar k siwa kuch na sunay behray goongay andhay to unhey samjh
nahin.
(172):
Aye Eiman Walo khaao hamari di huwi Suthri Cheezain aur ALLAH ka ahsaan Mano
agar tum usi ko Poojtay ho.
(173): Us
ney Yehi tum par Haraam kiye hain murdaar aur khoon aur Suwwar ka Gusht aur wo Janwar
jo Gair-e-Khuda ka Naam le kar Zibah kiya gaya, To jo naChaar
ho na
yoon keh Khwahish sey khaaye aur na yoon keh zaroorat sey aagay barhay to us
par Gunah nahin, Beshak ALLAH bakhshnay wala Maharban hai.
(174): Wo
jo Chhupaty hain ALLAH ki utaari huyi kitaab aur us k badlay zaleel qimat le
Leytay hain, wo apnay pet me Aag hi bhartay hain, aur ALLAH qayamat
k din un
sey Baat na karega aur na unhen Suthra karay aur un k liye Dardnak Azaab hai.
(175): Wo
log hain jinho ne Hidayat ke badlay gumrahi mol li aur Bakhshish k badlay
Azaab, To kis darjay unhen Aag ki sahaar hai.
(176):
Yeh is liye keh ALLAH ney kitaab Haq k saath utaari aur beshak jo log kitaab
meyn ikhtilaaf Dalnay Lagay wo Zaroor parly siray k jhaGraLo hain.
Comments
Post a Comment