Al-Quran Tarjama In Roman Urdu Surat-Al Bakarah Ruku-#22
Al-QURAN:
TARJUMA-E-KANZUL
IMAAN.
002-Surah
Al-Bakrah.
Suratul
Baqara Madina mai Nazil hui, is main 286 Aayatain aur 40 Ruku hain.
RUKU # 22
(177):
Kuch Assal naiki yeh nahi keh mun Mashraq ya magrab ki taraf karo, haan assal
naiki yeh keh iman laayen ALLAH aur Qayamat aur Farishtu aur katab
aur
paighambroon par aur ALLAH ki mahabat main apna azeez mal dey RishtyDaRoon aur
yateemu aur maskeenu aur rahgeer aur saaeehilo aur gardanay choRanay
main aur
namaz qaim rakhay aur zakat dey aur apna qol pura karnay walay jab Ehad karin
aur sabar karnay walay maseebat aur sakhti main aur jaHad k waqat,
yehi hain
jenho ney apni bat sachchi ki aur yehi parhaizgar hain.
(178):
Aye Eiman walo tum par Farz hai keh jo na Haq mary Jayen unke Khoon ka badla
lo, Aazad ke badlay Aazad aur Ghulaam k Badlay Ghulaam aur Aurat k
Badlay
Aurat, to jis K liye us k bhai ki taraf sey Kuch Muafi huwi to Bhalayi sey
Taqaza ho aur Achchi Tarha ada, yeh TumhAaray Rab ki Taraf sey Tumhara
Boejh
Halka Karna hai aur Tum par Rahmat, to is k bad jo Ziyadti kary us k liye
Dardnaak Azaab hai.
(179):
Aur khoon ka badla lenay meyn Tumhari Zindagi hai, Aye Aqal Mando keh Tum Kahin
Bacho.
(180):
Tum par Farz Huwa keh jab tum meyn kisi ko Maut aaye agar kuch maal Chhorhay to
wasiyat kar Jaaye, apnay maa baap aur qareeb k Rishtedaro k liye
muafiq
dastoor yeh Wajib hai Parhezgaaro par .
(181): To
jo wasiyat ko sun suna kar badal de us ka Gunah unhe badalnay Walo par hai,
Beshak ALLAH sunta janta hai.
(182):
Phir Jisay Andesha huwa keh wasiyat karnay walay ney kuch bey insafi ya Gunah
kiya to us neyn un meyn sulah kara di us par kuch Gunah nahi, beshak
ALLAH
bakhshnay wala Maharban hai.
Comments
Post a Comment