Al-Quran Tarjama In Roman Urdu Surat-Al Bakarah Ruku-#24


Al-QURAN:
TARJUMA-E-KANZUL IMAAN.

002-Surah Al-Bakrah.

Suratul Baqara Madina mai Nazil hui, is main 286 Aayatain aur 40 Ruku hain.

RUKU# 24

(189): Tum sey naye Chand ko poochTay hain Tum Farma do wo Waqt ki Alamaten hain logo aur Hajj K liy, aur yeh kuch Bhalayi nahin keh GhaRoo meyn pichheet
Torh kar aao Haan Darwazo sey Aao aur ALLAH sey Dartay Raho is Ummeed par keh Falah Paao.
(190): Aur ALLAH ki Raah me Larho unsey jo tum sey larhtay hain aur Had se na badho, ALLAH pasand nahin Rakhta Had sey badhnay Walon ko.
(191): Aur Kafiro ko Jahan Paao Maaro aur Unhay Nikal do Jahan sey Unho ney TumheN Nikala tha aur unka Fasaad to qatl se bhi Sakht hy, Aur Masjid-E-Haraam
k pas un sey na Larho jab tak wo tum sey wahan na larhen aur agar tum sey larhen to unhen Qatl Karo Kafiro ki Yahi saza hai.
(192): Phir Agar wo Baaz rahen to Beshak ALLAH Bakhshnay wala Maharban hai.
(193): Aur un sey Larho yahan tak keh koi Fitna na Rahe aur ek ALLAH ki Puja ho Phir Agr wo Baaz Aayen to Ziyadti Nahi, Magar Zalimo par.
(194): Maah E Haraam k Badlay Maah E Haraam aur Adab Ke Badlay Adab hai to jo tum par Ziyadti karay us par Ziyadti karo utni hi jitni us ney ki aur ALLAH
sey Dartay Raho aur Jaan rakho keh ALLAH Dar walo k saath hai.
(195): Aur ALLAH ki Raah meyn Kharch karo aur apnay Hatho Hilakat meyn na parho aur Bhalayi walay ho jaao Beshak Bhalayi walay ALLAH k Mahboob Hain.
(196): Aur Hajj aur Umrah ALLAH k liye poora karo, Phir agar tum roky jaao to Qurbani bhijO jo muyassar Aaye aur Apnay Sar Na mundwao jab tak Qurbani apnay
thikany na Pahunch Jaye Phir jo tum meyn bimaar ho ya us k sar meyn Kuch takleef hy to Badla de Roezay ya Khairaat ya Qurbani phir jab tum itminaan se
ho to jo Hajj sey Umrah milanay ka fayeda uthaye Us par Qurbani hai jaisi muyassar Aaye phir Jisay Maqdoor na ho to teen(3) Roezay Hajj k Dino meyn rakhay
aur saat (7) jab apnay Ghar palat kar jaao yeh pooray Das ((10) huway yeh Hukm us k liye hai Jo Makkah ka rehnay wala na ho, Aur ALLAH sey Dartay Raho
aur Jaan Rakho keh ALLAH ka Azaab Sakht hai.

Comments

Popular posts from this blog

Peer-e-Kamil (S.A.W) By Umera Ahmad In English Page 05

Best 100 advices in urdu

Peer-e-Kamil (S.A.W) By Umera Ahmad In English Page 16