Al-Quran Tarjama In Roman Urdu Surat-Al Bakarah Ruku-#25


Al-QURAN:
TARJUMA-E-KANZUL IMAAN.

002-Surah Al-Bakrah.

Suratul Baqara Madina mai Nazil hui, is main 286 Aayatain aur 40 Ruku hain.

RUKU # 25

(197): Hajj k kai mahinay hain Janay huway to jo in main Hajj ki Niyyat karay to na AurTo k saamnay Sohbat ka Tazkira ho na koi Gunah na kisi se Jhagrha
Hajj k Waqt tak aur Tum jo Bhalayi karo ALLAH usay Janta hai, aur Tosha Sath lo keh sab se behtar Tosha parhezgaari hai aur Mujh sey Dartay Raho aye Aqal
walo.
(198): Tum par Kuch Gunah nahin keh apnay Rab ka Fazl Talash karo to Jab Arafat se Palto to ALLAH ki yaad karo Mashar-e Haraam k Paas aur uska zikr karo
jaisay us ney Tumhay Hidayat Farmayi aur beshak tum is sey pehlay behkay huway the.
(199): Phir Baat yeh hai keh, Aye Quraishiyo tum bhi wahin se Palto Jahan sey log Palat_tay hain aur ALLAH sey Muafi mango Beshak ALLAH Bakhshnay wala
Maharban hai.
(200): Phir Jab Apnay Hajj k kam pooray kar chuko to ALLAH ka zikr karo jaisay apnay baap dada ka zikr kartay the Balki us se zyada aur koi Aadmi yoon
kehta hai keh aye Rab Hamarey hamyn Dunya meyn de aur Aakhirat meyne uska kuch Hissa nahin.
(201): Aur koi yoon kehta hy keh aye Rab Hamarey Hamyn Dunya meyn Bhalayi de aur hamyn Aakhirat meyn Bhalayi de aur hamyn Azaab-e Dozakh sey Bacha.
(202): Aiso ko unki kamayi se Bhaag hai aur ALLAH jald Hisaab Karne wala hai.
(203): Aur Allah ki Yaad Karo G’inay Huway Dino meyn T’o jo Jaldi Kar k d’o ((2) Din meyn Chala Jae Uspar Kuch Gunaah Nahi Aur Jo Reh Jae t’o Uspar Gunah
Nahi, Parhezgar K Liye Aur Allah sey Dartay Raho Aur Jan Rakho Ki Tumhay Usi ki Taraf Uthna hy.
(204): Aur Baa’z Aadmi Wo hai Keh Dunia ki Zindagi Meyn Tujhay Uski Bat Bhali Lagay Aur Apnay Dil ki Baat par Allah ko Gawah Laay Aur wo Sab sey Bada Jhagralu
Hy.
(205): Aur Jab Pith peray To Zameen Meyn Fasad dalta piray Aur Khiti Aur Jaane Tabah Karay Aur Allah Fasad sey Razi Nahi.
(206): Aur Jab Us sey Kaha Jae ki Allah sey Daro To Usay Aur Zidd Chaday Gunah ki Esay ko Dozakh Kafi hai Aur Wo Zarur Bhot Bura Bichona hy.
(207): Aur koi Aadmi apni Jaan bechta hy, ALLAH ki marzi chahnay meyn aur ALLAH bando par Maharban hy.
(208): Aye Eiman Walo Islam meyn pooray Dakhil ho aur Shaitaan k qadmo par na chalo, Beshak wo Tumhara khula Dushman hai.
(209): Aur Agar Fir bhi Bech lo Ke TumhAaray Pas Roshan Huqm Aa Chukay To Janlo Keh Allah Zabardast Hiqmat Wala hy.
(210): Kahay k antazar main hain Magar Yehi keh Allah Ka-Azab Aay Chaay Huay Badalo meyn Aur Farishtay Utray Aur Kaam ho Chukay Aur Sab Kaamo ki Ruju Allah
ki Taraf Hai.

Comments

Popular posts from this blog

Peer-e-Kamil (S.A.W) By Umera Ahmad In English Page 05

Best 100 advices in urdu

Peer-e-Kamil (S.A.W) By Umera Ahmad In English Page 16