Al-Quran Tarjama In Roman Urdu Surat-Al Bakarah Ruku-#27


Al-QURAN:
TARJUMA-E-KANZUL IMAAN.

002-Surah Al-Bakrah.

Suratul Baqara Madina mai Nazil hui, is main 286 Aayatain aur 40 Ruku hain.

RUKU #27

(217): Tum sey Puchtay hai Mahay Haram meyn Ladnay ka Huqm, Tum Farmao Us meyn Ladna Bada Gunah Hai Aur Allah ki Raah sey Rokna Aur Uspar Imaan Na Lana
Aur Masjede Haram Sey Rokna Aur Us k Basnay Walo ko Nikal Dena Allah k Nazdeek Yeh Gunaah Us sey bhi Baday hain Aur Unka Fasad Qatl sey Sakht-Tarr hai,
Aur Hamesha Tum sey Lartay Rahengay Yaha Tak keh tumhay Tumharey Deen sey pair dey Agar Ban Paday, Aur jo Koi Tum mayn Apnay Deen sey phiray Fir Kafir
Hokar Maray To Un logo ka Kia AkaRat (Yani Zaia) Gaya Duniya Meyn Aur Akhirat meyn Aur wo Dozakh Walay hain Unhay Us meyn Hamesha Rehna.
(218): Wo Jo Imaan Lae Aur Wo Jinho ney Allah K liye Apnay Ghar-Bar Choray Aur Allah ki Raah meyn Laray Wo Rehmat-e Ilahi K Ummeed waar hain Aur Allah
Bakshney Wala Meharban Hy.
(219): Tum sey ShaRab Aur JuWey ka Huqm Puchtay hain Tum Farma d’o Keh Un Dono meyn Bada Gunah Hy, Aur Logo k Kuch Dunyawi Nafay bhi Aur Unka Gunah Unke
Nafay sey Bada hai Aur Tum sey Puchtay hain keh Kya Kharch Karen Tum Farmao Jo Fazel Bachay Isi Trah Allah Tum sey Ayaten Bayan Farmata hai.
(220): keh Kahin Tum Duniya Aur Akhirat K Kaam Soch kar Karo, Aur Tumsey Yateemo ka Masla Puchtay hain Tum Farmao Unka Bhala Karna Behter hai Aur Agar
Apna Unka Kharch Mila Lo To wo Tumharey Bhai hain Aur Khuda Khoob Janta hai Bigarnay Walo ko Sawarnay Walo Sey Aur Allah Chahta to Tumhen Mashaqqat meyn
Dalta Beshak Allah Zabardast Hiqmat Wala Hai.
(221): Aur Shirk Wali Aurto sey Nikah Na karo Jab Tak Musalman Na ho Jaain Aur Beshak Musalman Loundi Mushrika Sey Achchi hai Agarchay Tumhay wo Bhati
ho Aur Mushriko K Nikah meyn Na do Jab Tak Wo Imaan Na Laain Aur Beshak Musalman Gulam Mushrik sey Acha hai Agarchay Wo Tumhay Bhata ho, Wo Dozakh ki Taraf
Bulatay hain Aur Allah Jannat aur Bakshish Ki Taraf Bulata hai Apnay Huqm sey Aur Apni Ayaten Logo k Liye Bayan Karta hai Keh Kahin Wo NasiHat Manay.

Comments

Popular posts from this blog

Peer-e-Kamil (S.A.W) By Umera Ahmad In English Page 05

Best 100 advices in urdu

Peer-e-Kamil (S.A.W) By Umera Ahmad In English Page 16