Al-Quran Tarjama In Roman Urdu Surat-Al Bakarah Ruku-#20
Al-QURAN:
TARJUMA-E-KANZUL
IMAAN.
002-Surah
Al-Bakrah.
Suratul
Baqara Madina mai Nazil hui, is main 286 Aayatain aur 40 Ruku hain.
RUKU # 20
(164):
Beshak Aasmano aur Zameen ki paydaish aur Raat O Din ka Badaltay Aana aur
Kashti keh darya meyn Logo k fayeday le kar Chalti hai aur wo jo ALLAH
ney
Aasman sey pani utar kar Murda Zameen ko us sey Jila Diya (Zinda Kar Dia) aur
Zameen meyn har qism k Janwar Phailayey aur Hawaoon ki Gardish aur wo
Baadal
Keh Aasman wa Zameen k Beech meyn Hukm ka Baandha hai in sab meyn Aqal Mandon K
Liye Zaroor Nishaniyan Hain.
(165): Aur
Kuch Log ALLAH k siwa aur Maabood bana letay hain keh unheyn ALLAH ki Tarha
Mehboob Rakhtay hain aur Eiman Walo ko ALLAH k barabar kisi ki Mahabbat
nahin aur
kaisi ho agar dekhen Zalim wo Waqt Jab keh Azaab unki aankho k samnay aay ga is
liy keh sara zor Khuda ko hai aur is Liye keh ALLAH ka Azaab
Bahut
sakht hai.
(166):
Jab Bezaar Hongay peshwa apnay PairWoon sey aur dekhengay Azaab aur Kat jayengi
unki Sab Dorain.
(167):
Aur Kahengay Pairo kaash Hamay laut kar jana hota ( dunya me) to ham in sey
Torh detay jaisay inho ney ham sey Torh di, yunHi ALLAH unhe dikhayega
unke kaam
un par hasraten ho kar aur wo Dozakh sey nikalny waly nahin.
Comments
Post a Comment