Al-Quran Tarjama In Roman Urdu Surat-Al Bakarah Ruku-#28
Al-QURAN:
TARJUMA-E-KANZUL
IMAAN.
002-Surah
Al-Bakrah.
Suratul
Baqara Madina mai Nazil hui, is main 286 Aayatain aur 40 Ruku hain.
rRUKU #
28
(222):
Aur Tum sey Puchtay Hain Haiz Ka Huqm Tum Farmao Wo Napaki Hy, T’o Aurto sey
Alag Raho Haiz k Dino Aur Unsey Nazdiki Na karo Jab tak Paak Na ho
Le Fir
Jab Paak Ho Jae To Unke Pas jao Jaha sey Tumhay Allah ney Huqm diya, Beshak
Allah Pasand Karta hai Bohot Touba Karnay Walo ko Aur Pasand Rakhta
hai
Suthro(Paaki) ko.
(223):
Tumhari Aurten Tumharey Liye Khe’tiya hain, T’o Aao Apni Khe’tiyo meyn Jis
Tarha ChaHo Aur Apnay Bhalay ka Kaam Pehlay Karo Aur Allah sey Dartay
Raho Aur
Jaan Rakho Keh tumhay Us sey Milna hy, Aur Aye Mehboob Basharat d’o Imaan Walo
ko.
(224):
Aur Allah Ko Apni Kasmo Ka Nishaan Na Bana lo Keh Ehsan Aur Parhezgari Aur logo
meyn Sulah Karney ki Kasam Kar lo, Aur Allah Sunta Janta hy.
(225):
Allah Tumhay Nahi Pakarta Un Kasmo meyn Jo Bey-Irada Zuban Sey Nikal Jae Haan
Uspar Giraft Farmata hy Jo Kaam Tumharey Dilo ney Kiye Aur Allah Bakshnay
Wala Hilm
Wala Hy.
(226):
Aur Wo Jo Kasam Kha Bethtay hain Apni Aurto k Pas Janay ki Unhay 4 Mahiny Ki
Mohlat hy, Pas Agar Is Muddat me Fir Aay t’o Allah Bakshnay Wala Meharban
hy.
(227):
Aur Agar Chor denay Ka Irada Pakka Kar liya T’o Allah Sunta Janta hy.
(228):
Aur Tallak Waliyan Apni Jaano ko Rokey Rahay 3 Haiz Tak Aur Unhay Halal Nahi
Keh Chupa_ain Wo jo Allah Ney Un k Pet meyn Paida Kiya, Agar Allah
Aur
Qayamat par Imaan Rakhti hain, Aur Un k Shoharo ko Us Muddat k Andar Un k Fair
Lenay Ka Haq Pahuchta Hai Agar Melap Chahay, Aur Aurto ka bhi Haq asa
hee Hai
Jaisa Un par Shar’a K Muwafiq, Aur Mardo ko Un par Fazilat Hy Aur Allah Galib
Hiqmat wala hai.
Comments
Post a Comment