Al-Quran Tarjama In Roman Urdu Surat-Al Bakarah Ruku-#36
Al-QURAN:
TARJUMA-E-KANZUL
IMAAN.
002-Surah
Al-Bakrah.
Suratul
Baqara Madina mai Nazil hui, is main 286 Aayatain aur 40 Ruku hain.
RUKU # 36
(261): Un
ki Kahawat Jo Apna Maal Allah ki Raah meyn Kharch Kartay hain Us Danay ki Trah
Jis ney Ugai 7 Bali, Har Bali Meyn (100 Danay Aur Allah Us sey
bhi
Zeyada BarhAay Jis k Liye Chahay Aur Allah Wus’at Wala Ilmm Wala hy.
(262):
Woh Jo Apnay Maal Allah ki Rah meyn Kharch Kartay hain Fir Diy Pichay Na Ehsan
Rakhain Na Takleef dai’n, Un ka Naig (ajar) Un k Rabb k Pas hy Aur
Unhay Na
kuch Andaisha Ho Na kuch ghum.
(263):
Achchi Bat Kehna Aur Dar guzar Karna Us Kherat se Behtar hai Jis k Bad Satana
Ho, Aur Allah Be-Parwa Hilm Wala hy.
(264):
Aye Imaan Walo Apnay Sadqay BaTel Na kar do Ehsan Rakh kar Aur I’za (Takleef)
Deykar, Uski Tarah Jo Apna Maal Logo k Dikhaway K Liye Kharch Karay
Aur Allah
Aur Qayamat Par Imaan Na Laay T’o Uski Kahawat aysi hai Jesay Ek Chattan Keh Us
par Mitti hy Ab Uspar Zor Ka Pani Pada Jis ney Usay Nira Patthar
Kar
Chora, Apni Kamai Sey Kisi Cheez par Kabu Na Paain gay Aur Allah Kafiro ko Raah
Nahi Deta.
(265):
Aur Unki Kahawat Jo Apna Maal Allah ki Raza-Chahnay Meyn Kharch Kartay hain Aur
Apnay Dil jaMaNay ko, Us Baag K’i-S’i Hai jo Bhorh Par ho Uspar
Zor ka
Pani Pada T’o Dugney Meyway Laya Fir Agar Zor ka Meh Usay Na Poanchay To Aos
Kafi Hai, Aur Allah TumhAaray Kaam Dekh Raha hy.
(266):
Kya Tum meyn Usay Koi Pasand Rakhay ga Keh Us k Pas Ek Bag Ho Khajuro Aur
Anguro ka Jis k Nichay Nadiya Behti Us k Liye, Us meyn Har Kism k Falo
sey Hy,
Aur Usay Burhapa Aaya Aur Us k Natwa’n Bachchay Hain, To Aya Us par Ek Bagola
Jis meyn Aag thi T’o Jal Gaya, aysa h’i Bayan Karta Hai Allah Tum
sey Apni
Aayaten k Kahin Tum DhaYan Lagao.
Al-Quran Tarjama In Roman Urdu Surat-Al Bakarah Ruku-#36
Comments
Post a Comment