Al-Quran Tarjama In Roman Urdu Surat-Al Bakarah Ruku-#40
Al-QURAN:
TARJUMA-E-KANZUL
IMAAN.
002-Surah
Al-Bakrah.
Suratul
Baqara Madina mai Nazil hui, is main 286 Aayatain aur 40 Ruku hain.
RUKU # 40
(284):
Allah h’i Ka Hai Jo Kuch Aasmano meyn Hai Aur Jo kuch Zameen meyn hai Aur Agar
Tum Zahir Karo Jo kuch TumhAaray Jee meyn Hai Ya Chupao Allah Tumsey
Uska
Hisab Lega T’o Jisay Chahega Bakshega Aur Jisay Chahayga Saza Dega Aur Allah
Har Cheez Par Qadir hai.
(285):
Rasool Imaan Laaye Us par Jo Us k Rabb k Pas sey Us par Utra, Aur Imaan Walay
Sab ney Mana Allah Aur Us k Farishto’n Aur Uski Qitabo Aur Us k Rasoolo
ko Yeh
Kehtay huay keh hum Us k Kisi Rasool Par Imaan Lanay meyn Fark Nahi Kartay, Aur
Arz ki keh Hum ney Suna aur mana Teri Muafi Ho Aye Rabb! HumAaray
Aur Teri
h’i Taraf Firna hy.
(286):
Allah Kisi Jaan Par Boejh Nahi Dalta Magar Uski Taqat Bhar, Uska Faida hai Jo
Acha Kamaya Uska Nuksan Hai Jo Burai Kamai, Aye Rabb HumAaray! Hamay
na Pakar
Agar hum Bhulay Ya Chukain, Aye Rabb HumAaray! Aur Hum par Bhari Boejh Na Rakh
Jaisa Tu ney Hum sey Aglo Par Rakha tha,
Aye Rabb
HumAaray! Aur Hum par Wo Boejh Na daal Jiski Hamay SaHar (Taqat) na ho Aur
Hamay Muaf Kar dey Aur Baksh Dey Aur Hum par Maihar kar, Tu Hamara
Moula hai
Tu Kafiro Par Hamay Madad dey.
Sura E
Baqra End…
Comments
Post a Comment