Al-Quran Tarjama In Roman Urdu Surat-Al Bakarah Ruku-#35


Al-QURAN:
TARJUMA-E-KANZUL IMAAN.

002-Surah Al-Bakrah.

Suratul Baqara Madina mai Nazil hui, is main 286 Aayatain aur 40 Ruku hain.

RUKU # 35

(258): Aye Mehboob Kya Tum nay Na dekha tha usay Jo Ibrahim sey Jhagra Us k Rabb k Baray meyn Us par keh Allah ney Usay BadShahi D’i, JabKeh Ibrahim ney
Kaha Keh, Mera Rabb Wo Hai Keh Jilata (Zinda karta) Aur Marta hy, Bola Meyn Jilata Aur Marta hoon, Ibrahim ney Farmaya T’o Allah Suraj Ko Lata hai Purab
(Mashreq) sey T’u Us ko Pachchem (Maagrab) sey Lay Aa, T’o Hosh Urr Gae Kafir k, Aur Allah Raah Nahi Dikhata Zalimo ko.
(259): Ya Us ki Tarah Jo Guzra Ek Basti par Aur Wo Dhai Padi Thi Apni Chatto par, Bola esay KyunKar Jilay ga (Zinda karay ga) Allah eski Mout k Bad, To
Allah Ney Usay Murda Rakha (100 Baras Fir Zinda Kar diya Farmaya Tu Yaha Kitna Thehra Arz Ki Din bhar Thehra Hunga Ya Kuch Kum, Farmaya Nahi Tujhay (100
Baras Guzar Gae Aur Apnay Khanay aur Pani ko Dekh Keh Ab Tak Bu Na Laya Aur Apnay Gadhay ko Dekh Jiski Haddiya Tak Salamat Na Rahi Aur yeh Is liye Keh
Tujhay Hum logo K wastay Nishani Karain, Aur Un Haddiyo ko Dekh Kyunkar Hum Unhay Uthan Detay, Fir Unhe Gosht PehNatay Hain, Jab Yeh Muammla Uspar Zahir
Ho Gaya Bola main Khoob Janta hoon Keh Allah Sab-Kuch Kar Sakta hai.
(260): Aur Jab Arz ki Ibrahim ney Aye Rabb meray Mujay Dikha dey Tu Kyonkar Murday Jilay ga (zinda karay ga) Farmaya Kya tujhay Yakeen Nahi, Arz ki Yakeen
Kyu Nahi Magar Ye Chahta hu Keh Meray Dil ko Qarar Aa jae, Farmaya To Acha 4 Parinday Lay kar Apnay sath HiLa Lay Fir Un ka Ek ek Tukra Pahad par Rakh
dey Fir Unhay Bula Wo Teray Pas Chalay Aayengay Paon Sey DorTay Aur Jan rakh Keh Allah Galib Hiqmat Wala hy.
Al-Quran Tarjama In Roman Urdu Surat-Al Bakarah Ruku-#35

Comments

Popular posts from this blog

Peer-e-Kamil (S.A.W) By Umera Ahmad In English Page 05

Best 100 advices in urdu

Peer-e-Kamil (S.A.W) By Umera Ahmad In English Page 16