Al-Quran Tarjama In Roman Urdu Surat-Al Bakarah Ruku-#33


Al-QURAN:
TARJUMA-E-KANZUL IMAAN.

002-Surah Al-Bakrah.

Suratul Baqara Madina mai Nazil hui, is main 286 Aayatain aur 40 Ruku hain.

RUKU # 33

(249): Fir Jab Taloot Lashkaro ko Leykar Shahar sey Juda Hua Bola Beshak Allah Tumhay Ek Nahar sey Aazmanay Wala hy To jo Uska Pani Piye Wo mera Nahi Aur
Jo Na Piye Wo Mera hy Magar woh Jo Ek Chullu Apnay Hath sey LayLay To Sab ney Usay Piya Magar Thodo ney Fir jab Taloot Aur us k Sath k Musalman Nahar k
Paar Gae Boly Hum meyn Aaj Taqat Nahi Jaloot Aur Us k Lashkaro Ki, Boly Wo Jinhay Allah Sey Milnay Ka Yaqeen Tha keh BarHa Kum Jama’at Galib Aai Hai Ziyada
Giroh Par Allah K Huqm sey Aur Allah Sabro k Sath hy.
(250): Fir Jab Samnay Aay Jaloot Aur Us k Lashkaro K, Arz ki Aye Rabb HumAaray Hum Par Sabr Undhail Aur HumAaray Pau’n (Pair) JamAay Rakh Kafir logo Par
Hamari Madad Kar.
(251): T’o unho ney Un ko Bhaga Diya Allah k Huqm Sey Aur Qatl kiya Dawood Ney Jaloot ko Aur Allah ney Usay Saltanat Aur Hiqmat Ata Farmai Aur Usay jo
Chaha Sikhaya Aur Agar Allah Logo main Baa’az Sey Baa’az Ko Dafa na karay To Zaroor Zameen Tabah ho Jae Magar Allah Saray Jahan Par Fazl Karnay Wala hy.
(252): Ye Allah ki Aayaten hain Keh hum Aye Mehboob! Tum Par Theek-Theek Parhtay hain Aur tum Beshak Rasoolo main ho.
(Aaghaz-e-Para #3)
(253): Ye Rasool hain Keh Hum ney Un meyn Ek ko Dusre par Afzal kiya Un meyn kisi Sey Allah ney Kalam Farmaya Aur koi Wo hai Jisay Sab Par Darjoo’n Buland
Kiya Aur Hum ney Mariyam k Beytay Iesa ko Bhi Khuli Nishaniya Dei’n Aur Pakiza Rooh sey Uski Madad ki Aur Allah Chahta t’o Un k Bad Walay Apas Meyn Na
lartay Bad is k Keh un k pas Khuli Nishaniya Aa chuki Lekin Wo Mukhtalif Ho Gae Un meyn Koi Imaan Par Na Raha Aur koi Kafir ho Gaya Aur Allah Chahta t’o
Wo Na Lartay Magar Allah Jo Chahay Karay.

Comments

Popular posts from this blog

Peer-e-Kamil (S.A.W) By Umera Ahmad In English Page 05

Best 100 advices in urdu

Peer-e-Kamil (S.A.W) By Umera Ahmad In English Page 16