Al-Quran Tarjama In Roman Urdu Surat-Al Bakarah Ruku-#34
Al-QURAN:
TARJUMA-E-KANZUL
IMAAN.
002-Surah
Al-Bakrah.
Suratul
Baqara Madina mai Nazil hui, is main 286 Aayatain aur 40 Ruku hain.
RUKU # 34
(254):
Aye Imaan Walo Allah ki Raah Meyn HumAaray Diye Meyn sey Kharch Karo Wo Din
Aanay Sey pehlay Jis meyn Na Khareed-o-Farookht Hai Na Kafiro k Liye
Dosti Aur
Na Shafa’at Aur Kafir Khud hi Zalim hain.
(255):
Allah Hy Jis k Siwa Koi Ma’abood Nahi, Wo Aap Zinda Aur Auro ka Qaiem Rakhnay
Wala, Usay na Oongh Aay Na Neend, Usi ka Hai Jo Kuch Aasmano meyn
hy Aur Jo
Kuch Zameen Meyn, Wo Koun hy Jo Us k Yaha Sifarish Karay Bey-Us K Huqm K, Janta
hai Jo Kuch Un k Aagay hy Aur Jo Kuch Pichay Aur Wo Nahi PaTay
Us k Ilmm
meyn sey Magar Jitna Wo Chahay, Us ki Kursi Meyn SaMaay Huay hain Aasman Aur
Zameen Aur Usay Bhari Nahi Un ki Nigehbani Aur Wohi hai Buland Badai
Wala.
(256):
Kuch Zabardasti Nahi Deen main, Beshak Khoob Juda ho Gai hy Naik Raah Gumrahi
Sey, T’o Jo Shitan Ko Na manay Aur Allah Par Imaan Laay Us ney Badi
Mohkam
Girah Thami Jisay Kabhi KhulNa Nahi Aur Allah sunta Janta hy.
(257):
Allah Wali Hy Musalmano ka Unhay Andheriyo sey Noor ki Taraf Nikalta hy, Aur
Kafiro k Hema’iti Shitan Hain, Wo Unhay Noor Sey Andheriyo ki Taraf
Nikaltay
hain, Yehi Log Dozakh Walay hain Unhay Hamesha Us meyn Rehna.
Comments
Post a Comment