Al-Quran Tarjama In Roman Urdu Surat-Al Bakarah Ruku-#38

Al-Quran Tarjama In Roman Urdu Surat-Al Bakarah RAl-QURAN:
TARJUMA-E-KANZUL IMAAN.

002-Surah Al-Bakrah.

Suratul Baqara Madina mai Nazil hui, is main 286 Aayatain aur 40 Ruku hain.

RUKU # 38

(274): Wo Jo Apnay Maal Khairat Kartay hain Raat meyn Aur Din Meyn Chupay Aur Zahir Un k Liye Un ka Naig (Ajar) hy Un k Rabb k pas Un ko Na Kuch Andesha
ho Na Kuch Ghum,
(275): Wo jo Sood Khatay hain Qayamat k Din Na Kharay hongay Magar Jesay Khara hota hai Wo Jisay Aaseb ne Chu kar Makhboot Bana diya ho Yeh Es liye keh
unhoney Kaha Baiy (TijaRat) bh’i t’o Sood h’i Ki Manind hy, Aur Allah ney Halal kiya Baiy (TijaRat) ko Aur Haram Kiya Sood, T’o jisay Us k Rabb k Pas sey
Nasihat Aai Aur Wo Baa’az Raha To Usay Halal Hai Jo Pehlay Lay chuka Aur uska kaam Khuda k Supurd hai Aur jo Ab Aisi Harqat Karega To wo Dozkhi hai Wo
Us meyn Muddatoo’n Rahengay.
(276): Allah Halak Karta hai Sood ko Aur Barhata hai Khairat ko Aur Allah Ko Pasand Nahi Aata Koi Na Shukra Bara Gunaahgaar.
(277): Beshak Wo Jo Imaan Lae Aur Achchay Kaam kiye Aur Namaz Qayam Ki Aur Zakat Di Unka Naig (Ajar) Un k Rabb K pas hai Aur na Unhay Kuch Andesha ho Aur
Na Kuch Ghum.
(278): Aye Imaan Walo Allah Sey Daro Aur Chorh do Jo Baki Reh Gaya Hai Sood Agar Musalman Ho.
(279): Fir Agar Asa Na Karo To Yakeen Kar lo Allah Aur Allah k Rasool sey Larai ka Aur Agar tum Touba Karo To Apna Asal Maal Lay lo, Na tum Kisi Ko Nuksan
Pahuchao Na Tumhay Nuksan ho.
(280): Aur Agar Karzdar Tangi Wala Ho to usay Mohlat d’o Asani Tak Aur Karz Us par Bilkul Chorh daina TumhAaray liye Aur Bhala hai Agar Jaano.
(281): Aur daro Us Din sey Jis meyn Allah ki Taraf Firo gay Aur har Jaan ko Uski Kamai Puri Bhar D’i Jaygi Aur Unpar Zulm Na Hoga.uku-#38

Comments

Popular posts from this blog

Peer-e-Kamil (S.A.W) By Umera Ahmad In English Page 05

Best 100 advices in urdu

Peer-e-Kamil (S.A.W) By Umera Ahmad In English Page 16