Al-Quran Tarjama In Roman Urdu Surat-Al Bakarah Ruku-#39
Al-QURAN:
TARJUMA-E-KANZUL
IMAAN.
002-Surah
Al-Bakrah.
Suratul
Baqara Madina mai Nazil hui, is main 286 Aayatain aur 40 Ruku hain.
RUKU #39
(282):
Aye Imaan Walo Jab Tum Ek Muqarrar Muddat tak Kisi Dain (Qarz) Ka Len-Den Karo
To Usay Likh Lo, Aur Chahiye Keh tumhary Darmiyan Likhnay Wala Thik-Thik
Likhay
Aur Likhnay Wala Likhnay Sey Inkar na karay, Jaisa keh Usay Allah ney Sikhaya
hai T’o Usay Likh Dena Chahiye Jis Bat par Haq Aata Hai Wo Likhata
Jay Aur
Allah sey Daray Jo Uska Rabb hai Aur Haq main sey kuch rakh Na Choray, Fir Jis
par Haq Ata hai Agar Bey-Aql Ya Na-tawan Ho Ya LikHa na Sakay To
Us ka
Wali Insaf sey LikhAay, Aur (2 Gawah Kar lo Apnay Mardo Meyn sey, Fir Agar (2
Mard Na hun T’o ek Mard Aur (2 Aurten, Aysay Gawah Jinko Pasand Karo
Keh Kahin
Un meyn Ek Aurat Bhoolay t’o Us Ek Ko Dusri Yaad Dilaway, Aur Gawah Jab Bulay
Jay’n To Aanay sey Inkar na Kare,
Aur Isay
Bhari Na Jaano Keh Dain (Yani Qarz) Chota Ho Ya Bada Uski Mee’ad Tak Likhat Kar
lo Yeh Allah k Nazdik Ziyada Insaf Ki Baat hai es meyn Gawahi
Khoob Theek
Rahegi Aur Yeh Us k Qareeb Hai Keh Tumhay Shubha Na Paday Magar yeh keh Koi
SerDast ka Soda, Dast Ba-Dast Ho to Us k Na Likhnay ka Tum par
Gunaah
Nahi,
Aur Jab
Khareed-O-Farookht Karo t’o Gawah Kar lo Aur Na Kisi Likhnay Walay ko Zarar
Diya jae Na Gawah ko, Ya na Likhnay Wala Zarar dey na gawah, Aur Jo
Tum Asa
Karo to yeh Tumhara Fisq Hoga Aur Allah sey Daro Aur Allah Tumhay Sikhata hai
Aur Allah Sab-kuch Janta hai.
(283):
Aur agar Tum Safar Meyn ho Aur Likhnay Wala Na Pao T’o Giroh Ho Kabzay meyn Diya
Hua Aur Agar Tummay Ek ko Dusray par Itminan ho T’o wo Jisay Us
neyn
Ameen Samja tha Apni Amanat Ada Kar dey Aur Allah sey Daro Jo Us ka Rabb hai,
Aur Gawahi na Chupao Aur jo Gawahi Chupaayga To Andar sey Uska Dil GunahGaar
hai Aur
Allah Tumhary Kaamo ko Janta hai.
Comments
Post a Comment