Al-Quran Tarjama In Roman Urdu Surat-Al Bakarah Ruku-#17
Al-QURAN: TARJUMA-E-KANZUL IMAAN. 002-Surah Al-Bakrah. Suratul Baqara Madina mai Nazil hui, is main 286 Aayatain aur 40 Ruku hain. RUKU # 17. (Aaghaz-e-Para #2) (142): Ab kahengay Bewakoof log kis ney phair diya Musalmano ko un k us qibla sey jis par the. Tum Farma do keh Poorab aur Pachhim (Mashraq o Maghrab) sab ALLAH hee ka hy jisay chahe seedhi Rah chalata hai. (143): Aur baat yunhi hai keh ham ney Tumhay kiya sab Ummton main Afzal, Tum logo par Gawaah ho aur yeh RASOOL TumhAaray Ni’gihban-O-Gawaah aur Aye Mahboob Tum pehlay jis Qebla par the ham ney wo isi liye Muqarar kiya tha keh Dekhen kon RASOOL ki Pairwi karta hai aur kon Ultay Paon phir jata hai, aur Beshak yeh Bhari thi Magar un par Jinhay ALLAH ney Hidayat ki Aur ALLAH ki shaan nahi keh Tumhara Eiman Akarat (Zaya) karay, Beshak ALLAH Aadmiyoo par Bahut Maharban Mehar Wala hai. (144): Ham Dekh Rahe Hain Baar Baar Tumhara Aasmaan ki Taraf Munh karna To Zaroor ham Tumhay phair Dengay us qib...