Al-Quran Tarjama In Roman Urdu Surat-Al Bakarah Ruku-#07
*AL-QURAN:
TARJUMA-E-KANZUL
IMAAN.
002-Surah
Al-Bakrah.
Suratul
Baqara Madina mai Nazil hui, is main 286 Aayatain aur 40 Ruku hain.
RUKU # 7.
(60): Aur
Jab Moosa Ney Apni Qaum K Liye Pani Maanga To Ham Ney Farmaya Us Patthar Par
Apna Asa Maro, Fauran Us Mey Sey Bara ((1(2) Chashmay Beh Niklay,
Har Giroh
Ney Apna Ghaat PaHchaan Liya Khaao Aur Piyo Khuda Ka Diya Aur Zameen Mey Fasad
Uthatay Na Phiro.
(61): Aur
Jab Tum Ney Kaha Aye Moosa Ham Sey To Ek Khanay Par Hargiz Sabr Na Hoga To Aap
Apnay Rab Sey Duaa Kijiye Keh Zameen Ki Ugaii Huii Chizain Hamre
Liye
Nikale Kuch Saag Aur Kakri Aur Gehun Aur Masoor Aur Peyaz, Farmaya Kiya Adna
Chiz Ko Behter K Badlay Mangtay Ho? Acha Misr Ya Kisi Shahar Meyn Utro
Wahaan
Tumhay Milega Jo Tum Ney Manga Aur Un Par Muqarrar Kar Di Gayi Khawari Aur
Naadaari Aur Khuda Ke Ghazab Meyn Louty, Yeh Badla Tha Us Ka Keh Wo ALLAH
Ki Aayto
Ka Inkaar Kartay Aur Ambiya Ko Na Haq Shaheed Kartay Yeh Badla Tha Unki
NafarmaniYoon Aur Had Se Barhnay Ka.
Comments
Post a Comment