Al-Quran Tarjama In Roman Urdu Surat-Al Bakarah Ruku-#01
*AL-QURAN:
TARJUMA-E-KANZUL
IMAAN.
002-Surah
Al-Bakrah.
Suratul
Baqara Madina mai Nazil hui, is main 286 Aayatain aur 40 Ruku hain.
RUKU # 1.
BismillahHirRahmanirRaheem.
ALLAH k
naam sey shuru jo bahut meharban, rahmat wala.
(1): Alif
laam meem
(2): Wo
buland rutba kitab (Quraan) koi shak ki jaga nahi is me hidayat hai darr walo
ko.
3): Wo jo
bey dekhay Imaan laain Aur Namaz Qayam Rakhain aur Hamari di hui Rozi meyn sey
Hamari Raah meyn Uthaain. (Yani Kharch Karin).
(4): Aur
wo keh Imaan layen is par Jo Aye MAHBOOB tumhari taraf utra aur jo tum se
pehlay Utra Aur Aakhirat par Yaqeen Rakhen.
(5): Wohi
Log Apnay Rab ki taraf se hidayat par hain aur muraad ko pahunchnay walay.
(6):
Beshak wo jin ki Qismat me kufr hai unhey barabar hy chaHey TUM unhey darao ya
na darao wo Imaan lanay k nahi.
(7):
ALLAH ney unke Dilo par aur Kano par mohar kar di aur unki aankho par ghata top
hy aur unke liye BARA azab.
Comments
Post a Comment