Al-Quran Tarjama In Roman Urdu Surat-Al Bakarah Ruku-#09
*AL-QURAN:
TARJUMA-E-KANZUL
IMAAN.
002-Surah
Al-Bakrah.
Suratul
Baqara Madina mai Nazil hui, is main 286 Aayatain aur 40 Ruku hain.
RUKU # 9.
(72): Aur
Jab Tum Ney Ek Khoon Kiya To Ek-Dusre Par Uski Tohmat Dalnay Lagay Aur ALLAH Ko
Zaahir Karna Jo Tum ChuPatay They.
(73): To
Ham Ney Farmaya Us Maqtool Ko Us Gaaye Ka Ek Tukrha MarO, ALLAH YunHi Murday
Jilaye Ga Aur Tumhay Apni Nishaniya Dikhata Hai Keh Kahin Tumhay
Aql Ho.
(74):
Phir Us K Bad TumhAaray Dil Sakht Ho Gaye To Wo Pattharo Ki Misl Hain Balkeh Un
Sey Bhi Ziyada Karre Aur Pattharo Mey To Kuch Wo Hain Jin Sey Naddiyan
Bah
Nikalti Hain Aur Kuch Wo Hain Jo Phat Jatay Hain To Un Se Paani Nikalta Hai Aur
Kuch Wo Hain Keh ALLAH K Dar Sey Gir Parhtay Hain Aur ALLAH TumhAaray
Kotako
Sey Bekhabar Nahi.
(75): To
Ay Musalmano Kya Tumhay Yeh Tam’aa Hai Keh Yeh Yahood Tumhara Yaqeen Layengay
Aur Un Mey Ka To Ek Giroh Wo Tha Keh ALLAH Ka Kalam Suntay Phir
Samajhney
K Baad Usay Danista Badal Detay.
(76): Aur
Jab Musalmano Se Milen To Kahain Ham Eiman Laye Aur Jab Aapas Mey Akailay Hun
To Kahain Wo Elm Jo ALLAH Ney Tum Par Khola Musalmano Se Bayan
Kiye
Detay Ho Keh Us Sey TumhAaray Rab K Yahan Tumhi Par Hujjat Layen Kiya Tumhay
Aql Nahi.
(77):
Kiya Nahi Jante Ke ALLAH Janta Hai Jo Kuch Wo Chhupaate Hain Aur Jo Kuch Zahir
Kartay.
(78): Aur
Un Meyn Kuch An-Parh Hain Keh Jo Kitab Ko Nahi Jante Magar Zubani Parh Lena Ya
Kuch Apni Man-Gharhat Aur Wo Niray Guman Meyn Hain.
(79): To
Kharabi Hai Un K Liye Jo Kitab Apnay Haath Se LikheN Phir Kaih Dain Yeh Khuda K
Paas Sey Hai Keh Us K Ewaz Thorhay Daam Haasil Karen To Kharabi
Hai Unke
Liye Un K Haatho K Likhay Sey Aur Kharabi Un K Liye Is Kamaii Sey.
(80): Aur
Boly Hamay To Aag Na Chuaygi Magar Ginti K Din, Tum Farma Do Kiya Khuda Sey Tum
Ney Koi Ahad Le Rakha Hy? Jab To ALLAH HarGiz Apna Ahad Khilaf
Nah
Karega Ya Khuda Par Wo Baat Kehtay Ho Jis Ka Tumhay Elm Nahi.
(81):
Haan Kiyu Nahi Jo Gunah KaMaay Aur Us ki Khata usay Ghair lay wo Dozakh walo
Mey Hai, Unhay Hamesha Us mey Rehna.
(82): Aur
Jo Eiman Laye Aur Achchay Kaam kiye Wo Jannat walay Hain, Unhay Hamesha Us Mey
Rehna.
Comments
Post a Comment