Al-Quran Tarjama In Roman Urdu Surat-Al Bakarah Ruku-#02
*AL-QURAN:
TARJUMA-E-KANZUL
IMAAN.
002-Surah
Al-Bakrah.
Suratul
Baqara Madina mai Nazil hui, is main 286 Aayatain aur 40 Ruku hain.
RUKU # 2.
(8): Aur
kuch log kehty hain keh ham ALLAH aur pichly din par Imaan laye aur wo eiman
walay nahi.
(9):
Faraib diya chahtay hain ALLAH aur Eiman walo ko aur Haqiqat me faraib nahi
detay magar apni jano ko Aur Unhey Shawoor nahi.
(10):
Unke Dilo me Bimari hy, to ALLAH ne unki bimari aur barhai, Aur unke liye
Dardnak azab hy, badla unke jhoot ka.
(11): Aur
jo un sey kaha jaye Zameen me fasad na karo, to kehtay hain ham to sanwarney
walay hain.
(12):
Sunta hy! wohi fasadi hain magar unhey shawoor nahi.
(13): Aur
jab un sey kaha jaye eiman lao jaisay aur log eiman laEY hain, to kahen kiya
ham Ahmaqu ki tarha eiman le aayen , sunta hy? Wohi Ahmaq hain magar
jante
nahi.
(14): Aur
jab eiman walo sey melain to kahen ham eiman laye aur jab apnay shaitano k pas
akailay hun to kahen ham tumhAaray sath hain, ham to yunhi Hansi
kartay
hain.
(15):
ALLAH un sey istihaza fermata hai (jaisa Us ki shaan k laIeq hy) aur unhay
dheel deta hy keh apni sar kashi me bhadaktay rahen.
(16): Ye
wo log hain jinho ne hidayat ke badlay gumrahi kharidi, to unka soda kuch nafa
na laya aur wo sody ki raah jante hi na the.
(17): Un
ki Kahawat uski tarha hai jis ney Aag raushan ki to jab us sey aas paas sab
jagMaga utha ALLAH unka noor lay gaya aur unhay andhero me chhor diya
keh kuch
nahi soojhta.
(18):
BehRay Gungay Andhay to wo fir aanay walay nahi.
(19): Ya
Jaisay Aasmaan sey utarta paani keh us main andheriyan hain aur garaj aur
chamak, Apnay kano me ungliyan thons Rahe hain Karhak k sabab maut ke
dar sey,
Aur ALLAH kafiro ko ghairy huye hai.
(20):
Bijli yoon maaloom hoti hy keh un ki NigAhain Uchak lay jaiygi, Jab kuchh
chamak hui us main chalnay lagay, aur jab andhera huwa kharhay reh gaye
Comments
Post a Comment