Al-Quran Tarjama In Roman Urdu Surat-Al Bakarah Ruku-#15


Al-QURAN:
TARJUMA-E-KANZUL IMAAN.

002-Surah Al-Bakrah.

Suratul Baqara Madina mai Nazil hui, is main 286 Aayatain aur 40 Ruku hain.

RUKU # 15.

(122): Aye Aulaad e Yaaqoob yaad karo mera Ahsan jo mai ne Tum par kiya. Aur wo jo mainay Us zamanay k sab Logo par Tumhay Barhayi di.
(123): Aur Daro Us Din sey Keh Koi Jaan Dusre ka Badla na Hogi aur na us ko Kuch le kar Chhorhen aur na Kafir ko koi Sifarish Nafaa De aur na Unki madad
ho.
(124): aur jab Ibraheem ko us k rab ney kuch batun sey azmaya to us ney wo puri kar dikhaii, farmaya main tumhay logu ka peshwa banAnay wala hoon, arz
ki aur meri olad sey, farmaya mera Ehad zalmu ko nahi pohanchta.
(125): Aur yad karo jab ham ney es ghar ko logo k liy marja aur aman banaya, Aur Ibraheem k kharay honay ki jagha ko namaz ka moqam banao Aur ham ney taqeed
farmai Ibraheem aur Ismaeel ko keh mera ghar khoob suthra karo tawaf walu aur Etakaf walu aur raku-o-sajood walu k liy.
(126): Aur jab arz ki Ibraheem ney keh ay meray rab es shaihar ko aman wala kar day aur es k rehnay walo ko tarah tarah k phalu sey rozi dey, Jo un main
sey ALLAH aur pechlay den par Iman lain, Farmaya aur jo kafar huwa Thora bartnay ko usey b dunga Pher usey aazab-e-dozakh ki taraf majboor kar dunga aur
wo bohat buri jagha hy palatnay ki.
(127): Aur Jab Uthata tha Ibraheem us Ghar ki Niwin aur Ismaeel yeh kehtay huye Aye Rab Hamarey Ham sey Qabool Farma Beshak Tu hee hai sunta janta.
(128): Aye Rab HamAaray aur kar hamay Teray Huzoor Gardan Rakhnay wala aur hamari aur hamari Aulad meyn sey ek Ummat teri Farmabardar aur hamainn hamari
ibadat k qaieday bata aur Ham par apni Rahmat k sath Ruju Farma, Beshak Tu hee hai Bahut Tauba Qabool karne wala Maharban.
(129): Aye Rab HamAaray aur bhaij in main ek RASOOL unhi mey sey keh in par teri Aayaten Tilawat Farmaye aur unhen Teri Kitab aur Pukhta Elm Sikhayey aur
unhey Khoob Suthra Farmaye, Beshak Tu hee Hy Ghalib Hikmat wala.

Comments

Popular posts from this blog

Peer-e-Kamil (S.A.W) By Umera Ahmad In English Page 05

Best 100 advices in urdu

Peer-e-Kamil (S.A.W) By Umera Ahmad In English Page 16