Al-Quran Tarjama In Roman Urdu Surat-Al Bakarah Ruku-#06


*AL-QURAN:
TARJUMA-E-KANZUL IMAAN.

002-Surah Al-Bakrah.

Suratul Baqara Madina mai Nazil hui, is main 286 Aayatain aur 40 Ruku hain.

RUKU # 6.

(47): Aye aulad e Yaqoob yaad karo mera wo Ahsan jo main ney tum par kiya aur ye keh is saaray zamanay par tumhay barhaii di.
(48): Aur Daro us din sey jis din koi jaan dusry ka badla na ho sakegi aur na kafir k liye koi sifarish maani jayegi aur na kuch le kar uski jaan chhorhi
jayegi aur na unki madad ho.
(49): Aur yaad karo jab ham ne tum ko fairon walo sey nijaat bakhshi keh tum par bura azab kartay the Tumhary bayto ko zibah kartay aur tumhari bitiyo
ko zinda rakhtay aur us me tumhAaray Rab ki taraf sey bari bala thi (ya bara inaam).
(50): Aur jab ham ney tumhAaray liye darya pharh diya to tumhay bacha liya aur fairon walo ko tumhari aankho k samnay dubo diya.
(51): Aur jab ham ney Musa sey 40 raat ka waada farmaya phir us k pichay tum ney bachhrhay ki puja shuru karDi aur tum zalim the.
(52): Phir us k baad Ham ney tumhay muaafi di keh kahi tum ahsaan mano.
(53): Aur jab Ham ney Musa ko kitaab ata ki aur haq-O-batil mey tameez kar dena keh kahi tum raah par aao.
(54): Aur jab Musa ney apni Qaum sey kaha Aye meri Qaum tum ne bachhrha bana kar apni jaano par zulm kiya to apne Paida karnay walay ki taraf ruju laao
to aapas mey ek dusray ko Qatl karo yeh tumhAaray paida karne walay k nazdeek tumhAaray liye behtar hy to us ne tumhari tauba qabool ki Beshak wohi hy
bahut Tauba qabool karnay wala Meharban.
(55): Aur Jab Tum Ne Kaha Aye Moosa Ham HarGiz Tumhara Yaqeen Na Laiengay Jab Tak AilaniYa Khuda Ko Dekh Lain To Tumhay Kadak Ney Aa Liya Aur Tum Dekh
Rahay The.
(56): Fir MarAy Pichhay Ham Ney Tumhay Zinda Kiya Keh Kahin Tum Ahsan Mano.
(57): Aur Ham ney Abar Ko Tumhara Saayebaan Kiya Aur Tum Par Manna Aur Salwa Utara Khaao Hamari Di Huyi Suthri Cheezen Aur Unho Ney Kuch Hamara Na Bigarha
Haan Apni Hi Jano Ka Bigarh Kartay The.
(58): Aur Jab Ham Ney Farmaya Us Basti Mey Jao Phir Us Main Jahan Chaho Bey Rok Tok Khao Aur Darwazay Main Sajda Kartay Dakhil Ho, Aur Kaho Hamare Gunah
Muaf Hun, Ham Tumhari Khatayen Bakhsh Dengay Aur Qareeb Hai Keh Neki Walo Ko Aur Zyada Dain.
(59): To Zalimo Ney Aur Baat Badal Di Jo Farmayi Gayi Thi Us K Siwa, To Ham Ney Aasmaan Sey Un Par Azaab Utaara Badla Unki Bey Hukmi Ka.

Comments

Popular posts from this blog

Peer-e-Kamil (S.A.W) By Umera Ahmad In English Page 05

Best 100 advices in urdu

Peer-e-Kamil (S.A.W) By Umera Ahmad In English Page 16