Al-Quran Tarjama In Roman Urdu Surat-Al Bakarah Ruku-#04

*AL-QURAN:
TARJUMA-E-KANZUL IMAAN.

002-Surah Al-Bakrah.

Suratul Baqara Madina mai Nazil hui, is main 286 Aayatain aur 40 Ruku hain.

RUKU # 4.

(30): Aur yaad karo jab tumhAaray Rab ne Farishto se farmaya mai zameen me Apna Nayib banany wala hoon, Boly kia aisay ko Nayib karega jo us me fasad phailayey
aur khoon riziyan karega aur Ham tujhay sarHatay hain teri tasbih kartay hain aur teri Paaki boltay hain, Farmaya mujhay maloom hy jo tum nahi jante.
(31): Aur ALLAH taala ney Aadam ko tamam (ashiya) k naam sikhayey fir sab (ashiya) ko malaika par pesh kar k farmaya, sachchay ho to un k naam to batao.
(32): Boly paaki hai tujhay hamain kuch elm nahi magar jitna tunay hamain seekhaya, Beshak tu hi elm wa hikmat wala hai.
(33): Farmaya Aye Aadam bata de inhe sab (ashiya ke) naam jab us ney (yani Aadam ney) unhe sab k naam bata diye Farmaya, Main na kehta tha keh main janta
hun Aasmano aur zameen ki sab chupi chizain aur mai janta hu jo kuch tum zahir kartay ho aur jo kuch tum chupa,Tay ho.
(34): Aur (yad karo) jab ham ne Farishto ko hukm diya keh Aadam ko sajda karo to sab ney sajda kiya siwaye iblees k, munkir huwa aur ghuroor kiya aur kafir
ho gaya.
(35): Aur Ham ney Farmaya, Aye Aadam tu aur teri Bibi is jannat me raho aur khao us me sey bey rok tok jahan tumhara jee chahey, magar us ped k paas na
jaana keh had sey barhney walo mey ho jao gay.
(36): To shaitan ney jannat sey unhay laghzish di aur jaha rehtay the waha sey unhay alag kar diya aur ham ney farmaya neechay utro aapas mey ek tumhara
dusray ka dushman aur tumhay ek waqt tak zameen mey thahrna aur baratna hai.
(37): Phir seekh liye Aadam ne Apnay Rab sey kuch kalme to ALLAH ney uski tauba qabool ki Beshak wahi hai bahut tauba qabool karnay wala Mehrban.
(38): Ham ne farmaya tum sab jannat sey utar jao phir agar tumhAaray paas meri taraf sey koi hidayat aaye to jo meri hidayat ka pairo huwa usay na koi
andesha na kuch gham.
(39): Aur wo jo kufr karen aur meri aayaten jhutlayen gay wo dozakh walay hain un ko hamesha us meyn rehna.

Comments

Popular posts from this blog

Peer-e-Kamil (S.A.W) By Umera Ahmad In English Page 05

Best 100 advices in urdu

Peer-e-Kamil (S.A.W) By Umera Ahmad In English Page 16