Al-Quran Tarjama In Roman Urdu Surat-Al Bakarah Ruku-#14
QURAN:
TARJUMA-E-KANZUL
IMAAN.
002-Surah Al-Bakrah.
Suratul
Baqara Madina mai Nazil hui, is main 286 Aayatain aur 40 Ruku hain.
RUKU # 14.
(113):
Aur Yahudi Boly Nasrani Kuch Nahi Aur Nasrani Boly Yahudi kuch Nahi, Halaki wo
kitaab parhtay Hain, isi tarha Jahilo ney Un ki si baat kahi to ALLAH
Qayamat k
din in meyn faisla kar dega jis baat meyn jhagarh Rahe hain.
(114):
Aur is sey Barh kar Zalim kon jo ALLAH ki Masjedun ko Rokay Un meyn Naam e
Khuda Liye Janay sey Aur Unki Wiraani meyn Koshish Kare, Unko na Pahunchta
tha keh
Masjedun meyn Jayen magar Dartay Huye Unke liye Dunya me Ruswayi hai aur unke
liye Aakhirat meyn Bada Azaab.
(115):
Aur Poorab Pachhim (Mashrak-o-Maghrab)Sab ALLAH hi ka hai to tum jidhar munh
karo udhar WajahAllah (Khuda ki Rahmat Tumhari Taraf Mutwajjeh Hai.)
Beshak
ALLAH Wusat Wala Elm Wala hai.
(116) Aur
Boly Khuda ney Apnay Liye Aulad Rakhi Paaki hai use Balki usi ki Milk hai jo
Kuch Aasmano meyn hai aur Zameen meyn hai Sab Us k Huzoor Gardan
Dalay
huway Hain.
(117):
Naya Paida Karne Wala Aasmano aur Zameen ka, aur Jab kisi bat ka hukm Farmaye
to us sey Yahi farmata hai keh HoJa wo Fauran Ho jati hai.
(118 )
Aur Jahil Boly ALLAH ham sey Kiyo nahi Kalam karta ya Hamay koi Nishaani milay,
Unsey Aglo ney b aisi hi Kahi un ki si bat in k, un k Dil ek sey
hain,
beshak Ham ney nishaniya khol Deen Yaqeen Walo k liye.
(119):
Beshak Ham ney Tumhay Haq k sath Bheja KhushKhabri Deta Dar Sunata Aur Tum sey
Dozakh walo ka sawaal na hoga.
(120):
Aur HarGiz Tum sey Yahood aur Nasara Razi Na Hongay Jab tak Tum un k Deen ki
pairvi na karo, Tum Farma Do ALLAH hi ki Hidayat, Hidayat hai Aur (aye
sunNay
waly ki sey bashid) (yani koi hee bsunNay wala) agar to unki Khwahisho ka Pairo
huwa baad is k keh Tujhay Elm aa chuka to ALLAH sey tera koi Bachanay
wala nahi
hoga aur na MadadGaar.
(121):
Jinhay Ham ney Kitab di hai wo Jaisi Chahiyey Uski Tilawat kartay Hain, wahi us
par Eiman Rakhtay hain aur Jo munkir hon to wahi ZiyanKaar hain.
Comments
Post a Comment