Al-Quran Tarjama In Roman Urdu Surat-Al Bakarah Ruku-#08


*AL-QURAN:
TARJUMA-E-KANZUL IMAAN.

002-Surah Al-Bakrah.

Suratul Baqara Madina mai Nazil hui, is main 286 Aayatain aur 40 Ruku hain.

RUKU # 8.

(62): Beshak Eiman Walay Neez Yahudiyo Aur Nasraniyo Aur Sitara Parasto Meyn Sey Wo kE Sachchay Dil Sey ALLAH Aur Pichhlay Din Par Eiman Layen Aur Nek
Kaam Karen Un Ka Sawaab Unke Rab Ke Paas Hai Aur Na Unhe Kuch Andesha Ho Aur Na Kuch Gham.
(63): Aur Jab Ham Ney Tum Sey Ahad Liya Aur Tum Par Toor Ko Uncha Kiya Lo Jo Kuch Ham Tum Ko Detay Hain Zor Sey Aur Us K Mazmoon Yaad Karo Us Ummeed Par
Keh Tumhay Parhezgaari Milay.
(64): Phir Us k Baad Tum Phir Gaye To Agar ALLAH Ka Fazdl Aur Us Ki Rahmat Tum Par Na Hoti To Tum Toty (Yani Nuqsan) Walo Meyn Ho Jatay.
(65): Aur Beshak Zaroor Tumhay Maloom Hai Tum Mey Keh Wo Jinho Ney Hafta Meyn Sarkashi Ki To Ham Ney Un Sey Farmaya Keh Ho Jao Bandar Dhutkaray Huway.
(66): To Ham Ne Us Basti Ka Yeh Waqiaa Us K Aagay Aur Pichhay WalO K Liye Ibrat Kar Diya Aur Parhezgaaro K Liye Nasihat.
(67): Aur Jab Moosa Ne Apni Qaum Sey Farmaya, Khuda Tumhay Hukm Deta Hai Keh Ek Gaaye Zibah Karo, Boly Keh Aap Hamain Maskhara BanaTay Hain, Farmaya Khuda
Ki Panah Keh Mayn Jahiloo Sey Hoon.
(68): Boly Apnay Rab Sey Duaa Kijiye Keh Wo Hamay Bata Dey Gaaye Kaisi, Kaha Wo Fermata Hy Keh Wo EK Gaaye Hy Na Burhi Aur Na Awsar BalKeh Un Dono K Beech
Mey, To Karo Jis Ka Tumhay Hukm Hota Hai.
(69): BoLay Apnay Rab Sey Duaa Kijiye Hamain Bata De Us Ka Rang Kiya Hai, Kaha Wo Fermata Hy Wo EK Peeli Gaaye Hai Jis Ki Ranggat Dahdahati Dekhnay Walu
Ko Khushi Deti.
(70): BoLay Apnay Rab Sey Duaa Kijiye Keh Hamare Liye Saaf Bayaan Karay Wo Gaaye Kaisi Hy Beshak Gaayio Mey Ham Ko Shubah Parh Gaya Aur ALLAH Chahe To
Ham Raah Pa Jayengay.
(71): Kaha Wo Farmata Hy Keh Wo Ek Gaaye Hy Jis Sey Khidmat Nahi Li Jati Keh Zameen Jotey Aur Na Khiti Ko Pani Dey, Bey-Aaib Hy Jis Meyn Koi Daagh Nahi,
BoLay Ab Aap Theek Baat Laaye To Usay Zibah Kiya Aur Zibah Kartay Maloom Na HoTay They.

Comments

Popular posts from this blog

Peer-e-Kamil (S.A.W) By Umera Ahmad In English Page 05

Best 100 advices in urdu

Peer-e-Kamil (S.A.W) By Umera Ahmad In English Page 16