Al-Quran Tarjama In Roman Urdu Surat-Al Bakarah Ruku-#11
QURAN:
TARJUMA-E-KANZUL
IMAAN.
002-Surah
Al-Bakrah.
Suratul
Baqara Madina mai Nazil hui, is main 286 Aayatain aur 40 Ruku hain.
RUKU # 11.
(87): Aur
Beshak Ham ney Moosa ko kitab ata ki aur us k baad pey dar pey Rasool Bhejay
aur Ham ney Iessa Bin Maryam ko Khuli Nishaniya Ata farmayi aur
Paak Rooh
sey Uski Madad ki to kia jab tumhAaray paas Koi Rasool wo Lay kar aaye jo
TumhAaray Nafs ki khwahish nahi, Takabbur karte ho to un meyn ek Giroh
ko tum
jhutLatay aur ek Giroh ko Shaheed kartay ho.
(88): Aur
Yahudi Boly HamAaray Dilo par parday parhay hain, Balki ALLAH ney un par Lanat
ki un k Kufar k sabab, To un mey Thorhay Eiman Latay Hain.
(89): Aur
Jab Unke pas ALLAH ki wo Kitab (Qur’an) Aayi jo Un k Sath wali Kitab (Taurait)
ki Tasdeeq Farmati Hy aur us sey Pehlay isi NABI k Waseele Sey
kafiro
par Fateh Mangtay the to Jab Tashreef Laya unke paas wo jaana pahchana Us sey
Munkir Ho baithay to ALLAH ki lanat munkiro par.
(90): Kis
buray Molo unho ney apni jano ko Kharida keh ALLAH k utaaray sey munkir hun is
ki Jalan sey keh ALLAH apnay Fazl sey apnay Jis Banday par Chahe
Wahi
Utare to Ghazab par Ghazab keh saza waar huye aur Kafiro k liye Zillat ka azaab
hai.
(91): Aur
Jab Un sey Kaha jaye keh ALLAH k utaaray par Eiman lao to kehtay Hain wo jo Ham
par Utra us par Eiman Latay Hain aur Baqi sey Munkir Hoty hain
Halakeh
wo Haq hai unke paas wale ki Tasdeeq Farmata huwa Tum Farmao keh Phir Aglay
Ambiya ko Kyun Shaheed kiya Agar Tumhay Apni Kitaab par Eiman Tha.
(92): Aur
Beshak TumhAaray Paas Moosa Khuli Nishaaniya Le kar Tashreef Laaya Phir Tum ney
us k baad Bachhday ko Maabood Bana liya aur Tum Zalim the.
(93): Aur
Yaad karo jab ham ney tum sey Paimaan liya aur Koh e Toor ko tumhAaray Saro par
Buland kiya, lo jo Ham TumheN detay hain Zor sey aur suno! boly
Ham ney
Suna aur na mana aur unke dilo meyn Bachhda Rach raha tha un k Kufr k sabab,
Tum Farma do kia Bura Hukm deta hai tum ko Tumhara Eiman Agr Eiman
Rakhtay
ho.
(94): Tum
Farmao Agr Pichhla Ghar ALLAH k nazdeek Khalis tumhAaray liye ho na Auro k liye
to Bhala Maut ki Aarzo to karo agr Sachchay ho.
(95): Aur
HarGiz Kabhi Uski Aarzo na Karengay Un bad Aamaliyo k sabab jo Aagay kar Chukay
aur ALLAH khoob janta hai Zalimo ko.
(96): Aur
Beshak Tum zaroor Unhay paoGay keh Sab logo sey Ziyada Jeenay ki Hawas Rakhtay
Hain aur Mushriko sey Ek ko Tamanna hai keh Kahin Hazar Baras
Jiye aur
Wo usay Azab sey Door na karega itni Umar diya jana aur ALLAH un k Kotak (Yani
Buray Kam) dekh raha hy.
Comments
Post a Comment