Al-Quran Tarjama In Roman Urdu Surat-Al Bakarah Ruku-#16


Al-QURAN:
TARJUMA-E-KANZUL IMAAN.

002-Surah Al-Bakrah.

Suratul Baqara Madina mai Nazil hui, is main 286 Aayatain aur 40 Ruku hain.

RUKU # 16.

(130): Aur Ibraheem k Deen sey kon Munh Pheray siwaye us k jo dil ka Ahmaq hai aur Beshak Zaroor Ham ney dunya meyn usay chun liya aur beshak wo Aakhirat
meyn Hamare Khaas Qurb walo meyn hy.
(131): JabKeh Us sey Us k Rab ney Farmaya Gardan Rakh, Arz ki mainay Gardan Rakhi us k liye jo Rab Hai saray jahan ka.
(132): Aur Usi Deen ki wasiyat ki Ibraheem ney apnay beyto ko aur Yaaqoob ney keh Aye meray beyto Beshak ALLAH ney yeh Deen TumhAaray liye Chun liya to
na Marna Magar Musalman.
(133): BalKeh Tum Meyn K Khud Maujood The, Jab Yaaqoob ko Maut Aayi JabKeh Us Ney Apnay Beyto Sey Farmaya Meray Baad Kis ki Puja Karogay? Boly Ham pujengay
Usay Jo Khuda Hai Aap ka Aur Aap k Aaba Ibraheem O Ismaeel O Ishaaque ka Ek Khuda aur Ham Us k Huzoor Gardan Rakhay Hain.
(134): Ye Ek Ummat Hai ke Guzar Chuki Unke Liye Hai Jo unho ne Kamaya aur TumhAaray liye hai Jo Tum Kamao aur Unke Kamo ki Tum se Pursish Na hogi.
(135): Aur Kitabi Boly Yahudi ya Nasrani Ho jao Rah Pao gay, Tum Farmao BalKeh Ham to Ibraheem ka Deen Letay hain, Jo har BaTil se Juda The aur Mushriko
Sey na The.
(136): Yoon kaho Keh Ham Eiman Laaye ALLAH par aur Us par Jo Hamari Taraf Utra aur Jo Utaaraa Gaya Ibraheem o Ismaeel o IsHaaque o Yaaqoob aur Un ki AULAAD
par Aur Jo ata Kiye Gaye MOOSA o Esa aur Jo ata kiye Gaye Baaqi Ambiya Apnay Rab k Pas sey, Ham Un meyn Kisi par Eiman Meyn Faraq Nahi Kartay Aur Ham ALLAH
k Huzoor Gardan Rakhay Hain.
(137): Phir agr wo b yunhi Eiman laaye jaisa tum laaye jab to wo Hidayat pa gaye aur agar munh phairen to wo niri zid paGaye aur Aye Mahboob AnQareeb ALLAH
un k taraf sey TumheN kifayat karega aur wahi hai sunta janta.
(138): Ham ney ALLAH ki Raini (rang) Li aur ALLAH sey behtar kis ki Raini? Aur ham usi ko Poojtay Hain.
(139): Tum Farmao, kiya ALLAH k baray meyn ham sey jhagarhtay ho halanki wo hamara bhi malik aur tumhara bhi aur Hamari karni hamary sath aur Tumhari karni
Tumhary sath aur Ham niray usi k Hain.
(140): BalKeh tum yun kehtay ho keh Ibraheem O Ismaeel O IsHaaque O Yaaqoob aur un k beytay Yahudi ya Nasrani the, Tum Farmao kiya Tumhay elm zyada hai
ya ALLAH ko, aur us sey barh kar Zalim kon jis k paas ALLAH ki taraf ki Gawahi ho aur wo usay ChupAye aur Khuda TumhAaray Kotako sey Bey Khabar Nahi.
(141): Wo ek Giroh hai keh Guzar Gaya un k Liye un ki kamai aur TumhAaray liye tumhari kamai aur un k kamo ki Tum sey Pursish na hogi.

(END OF PARA # 1)

Comments

Popular posts from this blog

Peer-e-Kamil (S.A.W) By Umera Ahmad In English Page 05

Best 100 advices in urdu

Peer-e-Kamil (S.A.W) By Umera Ahmad In English Page 16