Al-Quran Tarjama In Roman Urdu Surat-Al Bakarah Ruku-#05
*AL-QURAN:
TARJUMA-E-KANZUL
IMAAN.
002-Surah
Al-Bakrah.
Suratul
Baqara Madina mai Nazil hui, is main 286 Aayatain aur 40 Ruku hain.
RUKU # 5.
(40): Aye
Yaqoob ki Aulaad yaad karo mera wo Ahsan jo mainAY tum par kiya aur mera ahad
poora karo mai tumhara ahad poora karonga aur khaas mera hi dar
rakkho.
(41): Aur
eiman laao us par jo mai Ne utara uski tasdeeq karta huwa jo tumhAaray saath
hai aur sab sey pehlay us k munkir na bano aur meri aayato k badlay
thorhay
daam na lo aur mujhi sey daro.
(42): Aur
Haq sey batil ko na milao aur dida-O-danista Haq na chhupao.
(43): Aur
Namaz qayam rakho aur zakat do aur ruku karne walo ke sath ruku karo.
(44): Kya
logo ko bhalayi ka hukm detay ho aur apni jaano ko bhooltay ho halaki tum
kitaab parhtay ho to kia tumhay Aql nahi.
(45): Aur
sabr aur namaz sey madad chaho aur Beshak namaz zaroor bhari hai magar unpar jo
dil se meri taraf jhuktay hain.
(46):
Jinhay Yaqeen hai keh unhay apnay Rab sey milna hai aur usi ki taraf phirna.
Comments
Post a Comment