Al-Quran Tarjama In Roman Urdu Surat-Al Bakarah Ruku-#10
QURAN:
TARJUMA-E-KANZUL
IMAAN.
002-Surah
Al-Bakrah.
Suratul
Baqara Madina mai Nazil hui, is main 286 Aayatain aur 40 Ruku hain.
RUKU #
10.
(83): Aur
jab Ham ne Bani israeel se ahad liya ke ALLAH ke siwa kisi ko na poojo aur Maa
Baap ke sath bhalayi karo aur Rishtedaro aur Yatimo aur Miskino
se aur
Logo se Achchi Baat kaho aur Namaz Qayam Rakho aur Zakat do Phir tum phir gaye
Magar tum meyn keh thhorhay aur tum rugardan ho.
(84): Aur
Jab Ham ne Tum se Ahad liya ke apno ka khoon na karna aur Apno ko apni Bastiyo
se na Nikalna phir tum ne iska iqraar kiya aur tum Gawaah ho.
(85):
Phir yeh jo Tum Ho Apno ko Qatl karnay Lagay Aur apnay meyn ek Giroh ko Unke
Watan sey Nikaltay ho un par Madad Detay ho (unke muKhalif ko) Gunah
aur
ziadti mey aur Agar wo Qaidi ho kar TumhAaray paas aayen to badla de kar Chhurha
Letay ho aur unka Nikalna Tum par Haram hai To kiya Khuda k Kuch Hukmu
par Eiman
latay ho aur Kuch sey Inkar kartay ho? To jo Tum men aisa karay uska badla kya
hai magar dunya meyn ruswa ho aur Qayamat meyn sakht tar azaab
ki taraf
phairay jayengay aur ALLAH tumhAaray Kotku (Yaani Buray Kaamo) sey Bekhabar
nahi.
(86): Yeh
Hain wo log Jinho ney Aakhirat k Badlay Dunya ki zindagi mol li to na un par
sey Azaab Halka huwa aur na Unki madad ki Jaye.
Comments
Post a Comment