Al-Quran Tarjama In Roman Urdu Surat-Al Bakarah Ruku-#17


Al-QURAN:
TARJUMA-E-KANZUL IMAAN.

002-Surah Al-Bakrah.

Suratul Baqara Madina mai Nazil hui, is main 286 Aayatain aur 40 Ruku hain.

RUKU # 17.

(Aaghaz-e-Para #2)

(142): Ab kahengay Bewakoof log kis ney phair diya Musalmano ko un k us qibla sey jis par the. Tum Farma do keh Poorab aur Pachhim (Mashraq o Maghrab)
sab ALLAH hee ka hy jisay chahe seedhi Rah chalata hai.
(143): Aur baat yunhi hai keh ham ney Tumhay kiya sab Ummton main Afzal, Tum logo par Gawaah ho aur yeh RASOOL TumhAaray Ni’gihban-O-Gawaah aur Aye Mahboob
Tum pehlay jis Qebla par the ham ney wo isi liye Muqarar kiya tha keh Dekhen kon RASOOL ki Pairwi karta hai aur kon Ultay Paon phir jata hai, aur Beshak
yeh Bhari thi Magar un par Jinhay ALLAH ney Hidayat ki Aur ALLAH ki shaan nahi keh Tumhara Eiman Akarat (Zaya) karay, Beshak ALLAH Aadmiyoo par Bahut Maharban
Mehar Wala hai.
(144): Ham Dekh Rahe Hain Baar Baar Tumhara Aasmaan ki Taraf Munh karna To Zaroor ham Tumhay phair Dengay us qibla ki Taraf jis main Tumhari Khushi hy,
Abhi apna munh Phair do Masjid E Haraam ki taraf aur Aye Musalmano tum Jahan Kahin ho apna Munh Usi ki Taraf karo aur wo Jinhay Kitab mili hai Zaroor jantay
keh yeh un k rab ki taraf sey haq hai aur ALLAH un k Kotako (Kaamo) sey bey Khabar nahin.
(145): Aur agr Tum un Kitabiyon k Paas har Nishaani le kar aao wo TumhAaray Qibla ki Pairwi na karengay aur na tum un k Qibla ki Pairwi karo aur wo aapas
meyn b ek Dusray k Qibla ke Tabay nahi, aur (aye sunne wale kisy bashad) {yani koi b sun_ney wala} Agar tu un ki Khwahisho par chala baad is k keh tujhay
Elm mil chuka to us waqt to Zaroor SitamGaar hoga.
(146): Jinhay ham ney Kitab ata Farmayi wo us NABI ko aisa Pahchante hain jaisay Aadmi apnay beyto ko pahchanta hai aur beshak un meyn ek Giroh jaan bujh
kar haq chhuPata hy.
(147): Aye sun_nay walay ) ye Haq hai Teray Rab ki taraf sey (ya Haq wohi hai jo teray Rab ki taraf sey ho) to Khabardar tu shak na karna.

Comments

Popular posts from this blog

Peer-e-Kamil (S.A.W) By Umera Ahmad In English Page 05

Best 100 advices in urdu

Peer-e-Kamil (S.A.W) By Umera Ahmad In English Page 16