Al-Quran Tarjama In Roman Urdu Surat-Al Bakarah Ruku-#03
*AL-QURAN:
TARJUMA-E-KANZUL
IMAAN.
002-Surah
Al-Bakrah.
Suratul
Baqara Madina mai Nazil hui, is main 286 Aayatain aur 40 Ruku hain.
RUKU # 3.
(21): Aye
Logo! Apnay Rab ko PuJo Jis ney Tumhay aur Tum sey AGLu ko Paida Kiya yeh
ummeed kartay huye keh tumhay parhezgari milay.
(22): Jis
ney tumhAaray liye Zameen ko Bichhauna aur Aasmaan ko IMarat banaya aur Aasmaan
sey Paani Utara, to Us se Phal Nikalay tumhAaray khanay ko to
ALLAH k
liye Jaan Boojh kar Barabar walay na tehrao.
(23): Aur
Agar Tumhay Kuch Shak huwa us main jo ham ne Apnay (is Khas ) Banday par utara
to is jaisi ek surat to lay aao, Aur ALLAH k siwa apnay Sab himiatioonn
ko bula
lo agar tum Sachchay ho.
(24):
Phir Agar na la Sako aur ham farmayey detay hain keh har giz na la sako gay to
daro us aag sey jis ka indhan aadmi aur patthar hain, tayyar rakhi
hai
kafiro k liye.
(25): Aur
khushkhabri dey unhay jo eiman laye aur achchhy kaam kiye keh un k liye bagh
hain jin k neechay nehren rawan, jab unhay un bagho sey koi phal
khanay ko
diya jaye ga, surat dekh kar kahengay yeh to wahi rizq hai jo hamay pehlay mila
tha, aur wo (surat me) milta julta unhay diya gaya aur un k liye
un bagho
me suthri biwiyan hain, aur wo un me hamesha rahengay.
(26):
Beshak ALLAH is sey haya nahi farmata keh missal samjhany ko kaisi hi cheez ka
zikr farmaye, Machchar ho ya us se barh kar, to wo jo eiman laye wo
to jante
hain keh ye unke Rab ki taraf se haq hy. Rahay kafir wo kehtay hain aisi
kahawat main ALLAH ka kia maqsood hy, ALLAH bohutRu ko is se gumrah karta
hai aur
bohutRu ko hidayat farmata hai aur is sey unhay gumrah karta hai jo bey hukm
hain.
(27): Wo
ALLAH k Ahad ko torh detay hain pakka hony k baad aur kat’Taye hain us cheez ko
jis k jorny ka khuda ne hukm diya hai aur zameen me fasad phailaty
hain wahi
Nuqsan main hain.
(28):
Bhala Tum kyou Kar khuda ke munkir ho gay halaNkeh tum murda they us ney tumhay
jilaya-(Zinda kia) phir tumhay maaryGa phir tumhay jilAyaGa-(Zinda
Karayga)
phir usi ki taraf palat kar jao gay.
(29):
Wohi hy jis ne tumhAaray liye banaya jo kuch zameen main hy phir aasmaan ki
taraf istawa (qasad) farmaya to theek saath aasmaan banaye Wo sab kuch
janta hai.
Comments
Post a Comment